bojh
maiñ
bikhre hue sūraj kī
do qāsheñ
sāgar meñ Dubo kar aaya huuñ
ab
lauT rahā huuñ
apnī taraf
andhe sāgar se
raah munavvar hotī hai
ta.āqub meñ
koī
phir merī taraf
dauḌā huā baḌhne lagā
maiñ
lamha lamha kāñdhoñ par
phir bojh sā mahsūs kartā huuñ
main
bikhre hue suraj ki
do qashen
sagar mein Dubo kar aaya hun
ab
lauT raha hun
apni taraf
andhe sagar se
rah munawwar hoti hai
taaqub mein
koi
phir meri taraf
dauDa hua baDhne laga
main
lamha lamha kandhon par
phir bojh sa mahsus karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.