bolta kyun nahin
tū ne kyuuñ apne gāloñ pe sarsoñ malī
tū ne kyuuñ apnī āñkhoñ meñ chūnā bharā
terī goyā.ī kis dasht ke bheḌiye le ga.e
boltā kyuuñ nahīñ
boltā kyuuñ nahīñ tifl-e-māsūm to kab se bīmār hai
kaisā āzār hai jis ne terī shaboñ se tirī niiñd tere dinoñ se
khilaune churā.e
tū soyā nahīñ hai magar jāgtā kyuuñ nahīñ
dekhtā kyuuñ nahīñ tere baabā ke bāloñ meñ khujlī hai aur uñgliyāñ jhaḌ chukī haiñ
hisāb-e-shab-o-roz karte hue
terī ammāñ ke ra.asha-zada haath ḳhush-hāliyāñ DhūñDte DhūñDte
in dhule bartanoñ meñ paḌe rah ga.e
sub.h-e-tābīr ne shāḳh par sabz hone kī hasrat likhī
aañkh ko motiyā de diyā
dekhtā kyuuñ nahīñ aaj bāzār meñ jashn-e-iflās hai
shahr kī bhuuk chorī huī
aur ḳhabroñ ne aḳhbār gum kar diyā
log rote rahe
log hañste rahe
tere bistar pe ashkoñ kī champā khilī
aur tū chup rahā
tere māthe pe muskān kā itr chhiḌkā gayā
aur tū chup rahā
merī hañDiyā jalī
merā chūlhā bujhā
merī jholī se harf-e-duā gir gayā
mere bachche tū lab kholtā kyuuñ nahīñ
boltā kyuuñ nahīñ
tu ne kyun apne galon pe sarson mali
tu ne kyun apni aankhon mein chuna bhara
teri goyai kis dasht ke bheDiye le gae
bolta kyun nahin
bolta kyun nahin tifl-e-masum to kab se bimar hai
kaisa aazar hai jis ne teri shabon se teri nind tere dinon se
khilaune churae
tu soya nahin hai magar jagta kyun nahin
dekhta kyun nahin tere baba ke baalon mein khujli hai aur ungliyan jhaD chuki hain
hisab-e-shab-o-roz karte hue
teri amman ke rasha-zada hath KHush-haaliyan DhunDte DhunDte
in dhule bartanon mein paDe rah gae
subh-e-tabir ne shaKH par sabz hone ki hasrat likhi
aankh ko motiya de diya
dekhta kyun nahin aaj bazar mein jashn-e-iflas hai
shahr ki bhuk chori hui
aur KHabron ne aKHbar gum kar diya
log rote rahe
log hanste rahe
tere bistar pe ashkon ki champa khili
aur tu chup raha
tere mathe pe muskan ka itr chhiDka gaya
aur tu chup raha
meri hanDiya jali
mera chulha bujha
meri jholi se harf-e-dua gir gaya
mere bachche tu lab kholta kyun nahin
bolta kyun nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.