bolti lakiren
Interesting Fact
(نذر مخدومؔ)
kitāb-e-zīst ho
zulmāt ho
ki rauzan ho
shuā-e-mahr kī sūrat vahīñ se chhantī haiñ
ye baat kartī lakīreñ
inhīñ lakīroñ meñ
kahīñ dhanak hai
kahīñ chāñdnī
kahīñ ḳhushbū
kahīñ ḳhayāl
kahīñ ḳhvāb
aur kahīñ ta.abīr
udāsiyoñ kī kohar se pare
ubhartī hai
har ek lafz kī tasvīr
raushnī ban kar
nazar meñ surḳh savere kī dhīmī aañch liye
hai baat aisī ki jaise shaguftagī gul kī
to lahja aisā hai
jaise khanakte jaam hañseñ
kamān-e-abru-e-ḳhūbāñ kā bāñkpan hai ġhazal
to nazm hai kisī patthar meñ naqsh-e-ā.īna
is aa.ine meñ ayaañ hai
sabhī diloñ kā sukūñ
sabhī diloñ kī tamanna
sabhī diloñ kā malāl
hai māvarā-e-zamān-o-makāñ
ye ā.īna
is aa.ine meñ laraztī
lakīreñ boltī haiñ
kahīñ ḳhayāl
kahīñ ḳhvāb
aur kahīñ ta.abīr
kitab-e-zist ho
zulmat ho
ki rauzan ho
shua-e-mahr ki surat wahin se chhanti hain
ye baat karti lakiren
inhin lakiron mein
kahin dhanak hai
kahin chandni
kahin KHushbu
kahin KHayal
kahin KHwab
aur kahin tabir
udasiyon ki kohar se pare
ubharti hai
har ek lafz ki taswir
raushni ban kar
nazar mein surKH sawere ki dhimi aanch liye
hai baat aisi ki jaise shaguftagi gul ki
to lahja aisa hai
jaise khanakte jam hansen
kaman-e-abru-e-KHuban ka bankpan hai ghazal
to nazm hai kisi patthar mein naqsh-e-aina
is aaine mein ayan hai
sabhi dilon ka sukun
sabhi dilon ki tamanna
sabhi dilon ka malal
hai mawara-e-zaman-o-makan
ye aaina
is aaine mein larazti
lakiren bolti hain
kahin KHayal
kahin KHwab
aur kahin tabir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.