border-line
na.ī nasloñ ke sachche log
hamārī bātoñ pe hans rahe haiñ
hamāre mulkoñ kī sarhadoñ ko
baḌī hī hairat se tak rahe haiñ
vo kah rahe haiñ
kaise ye ajiib log the
jinhoñ ne nasleñ kī nasleñ
lakīroñ par raged Dālīñ
javāniyāñ laḌā.īyoñ meñ pasīj Dālīñ
apne ḳhuun bahāne vaale ye kaise log the
aane vaalī na.ī nasleñ ye jaan leñgī
maan leñgī
ki border ke us taraf bhī aur is taraf
bhī log baste haiñ
ke jin ke lahū kā rañg ek hai
vo surḳh hai
nai naslon ke sachche log
hamari baaton pe hans rahe hain
hamare mulkon ki sarhadon ko
baDi hi hairat se tak rahe hain
wo kah rahe hain
kaise ye ajib log the
jinhon ne naslen ki naslen
lakiron par raged Dalin
jawaniyan laDaiyon mein pasij Dalin
apne KHun bahane wale ye kaise log the
aane wali nai naslen ye jaan lengi
man lengi
ki border ke us taraf bhi aur is taraf
bhi log baste hain
ke jin ke lahu ka rang ek hai
wo surKH hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.