bosa
jhiil kināra
habs meñ Duubī bojhal bhārī shaam
tiin taraf jangal kī ḳhushbū
chauthī khoñT tilism
sāt-darā ik shahr ki jis meñ sadiyoñ būḌhe bhed
pahle dar kā bhed huā ilhām abhī is pal meñ
hāthoñ se tan Dhaktī mūrat meñ aadam kā jaayā
tū bhī kuchh to bol tirā kyā naam
abhī is pal meñ
jhil kinara
habs mein Dubi bojhal bhaari sham
tin taraf jangal ki KHushbu
chauthi khonT tilism
sat-dara ek shahr ki jis mein sadiyon buDhe bhed
pahle dar ka bhed hua ilham abhi is pal mein
hathon se tan Dhakti murat mein aadam ka jaya
tu bhi kuchh to bol tera kya nam
abhi is pal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.