vaqt ko aate na jaate na guzarte dekhā
na utarte hue dekhā kabhī ilhām kī sūrat
jam.a hote hue ik jagah magar dekhā hai
shāyad aayā thā vo ḳhvāboñ se dabe paañv hī
aur jab aayā ḳhayāloñ ko bhī ehsās na thā
aañkh kā rañg tulūa hote hue dekhā jis din
maiñ ne chūmā thā magar vaqt ko pahchānā na thā
chand tutlā.e hue boloñ meñ aahaT bhī sunī
duudh kā daañt girā thā to vahāñ bhī dekhā
boskī beTī mirī chiknī sī resham kī Dalī
lipTī-lipTā.ī huī reshmī tāñgoñ meñ paḌī thī
mujh ko ehsās nahīñ thā ki vahāñ vaqt paḌā hai
pālnā khol ke jab maiñ ne utārā thā use bistar par
lorī ke boloñ se ik baar chhuā thā us ko
baḌhte nāḳhūnoñ meñ har baar tarāshā bhī thā
chūḌiyāñ chaḌhtī utartī thiiñ kalā.ī pe musalsal
aur hāthoñ se utartī kabhī chaḌhtī thiiñ kitābeñ
mujh ko ma.alūm nahīñ thā ki vahāñ vaqt likhā hai
vaqt ko aate na jaate na guzarte dekhā
jama.a hote hue dekhā magar us ko maiñ ne
is baras boskī aThārah baras kī hogī
waqt ko aate na jate na guzarte dekha
na utarte hue dekha kabhi ilham ki surat
jama hote hue ek jagah magar dekha hai
shayad aaya tha wo KHwabon se dabe panw hi
aur jab aaya KHayalon ko bhi ehsas na tha
aankh ka rang tulua hote hue dekha jis din
main ne chuma tha magar waqt ko pahchana na tha
chand tutlae hue bolon mein aahaT bhi suni
dudh ka dant gira tha to wahan bhi dekha
boski beTi meri chikni si resham ki Dali
lipTi-lipTai hui reshmi tangon mein paDi thi
mujh ko ehsas nahin tha ki wahan waqt paDa hai
palna khol ke jab main ne utara tha use bistar par
lori ke bolon se ek bar chhua tha us ko
baDhte naKHunon mein har bar tarasha bhi tha
chuDiyan chaDhti utarti thin kalai pe musalsal
aur hathon se utarti kabhi chaDhti thin kitaben
mujh ko malum nahin tha ki wahan waqt likha hai
waqt ko aate na jate na guzarte dekha
jama hote hue dekha magar us ko main ne
is baras boski aThaarah baras ki hogi
- Book : Pukhraj (Pg. 53)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa Publications India Pvt. (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.