buDhapa
apnī javānī se tang aa kar
maiñ ne buḌhāpe ko ḳhat likh diyā hai
maiñ ne apne taḳhayyul se ek aurat
taḳhlīq kī hai bilkul
vaisī jaisī mujhe chāhiye thī
maiñ ne ek kamra daryāft kar liyā hai
jahāñ ek zinda qabr meñ
maiñ ne apne saare raaz dafnā diye haiñ
maiñ apne dukhoñ ko ikaTThā kar ke
ek na.ī nazm kī buniyād rakkhūñgā
aur use gungunāte hue
ḳhud ko ek bose se navāzūñgā
sochtā huuñ maiñ ek āḳhirī mulāqāt karūñ
apnī javānī se aur use buḌhāpe se milvā.ūñ
lekin Dar hai kahīñ vo ḳhafā ho kar mere
saare raaz na khol de
merī zindagī bhī mujh se tang aa kar
ghar kī dahlīz par dharnā diye baiThī hai
vo ek ḳhush-gavār shurūāt kā
mutālba kar rahī hai
galī ke kināre baiThe faqīr ke
chehre se zindagī kī
haivāniyat kā andāza lagāyā jā saktā hai
maiñ ab vo gaalī ījād karnā chāhtā huuñ
jo maiñ zindagī kī haivāniyat
ko tohfa kar sakūñ
shāyad ab tamām udaas logoñ ko
ek na.e jazīre kī taraf hijrat karnī chāhiye
aur ḳhushiyoñ kā ek parcham us par lahrā kar
ġhamoñ ko ek bose ke saath
alvidā.a kahnā hogā
magar sapne dekh kar ḳhud ko
dilāsa dene kī aadat
maiñ ab tark kar chukā huuñ
darvāze kī dastak ne mujhe aur
udaas kar diyā hai
pahlī baar mere ḳhat kā javāb
itne jaldī aa gayā
apni jawani se tang aa kar
main ne buDhape ko KHat likh diya hai
main ne apne taKHayyul se ek aurat
taKHliq ki hai bilkul
waisi jaisi mujhe chahiye thi
main ne ek kamra daryaft kar liya hai
jahan ek zinda qabr mein
main ne apne sare raaz dafna diye hain
main apne dukhon ko ikaTTha kar ke
ek nai nazm ki buniyaad rakkhunga
aur use gungunate hue
KHud ko ek bose se nawazunga
sochta hun main ek aaKHiri mulaqat karun
apni jawani se aur use buDhape se milwaun
lekin Dar hai kahin wo KHafa ho kar mere
sare raaz na khol de
meri zindagi bhi mujh se tang aa kar
ghar ki dahliz par dharna diye baiThi hai
wo ek KHush-gawar shuruat ka
mutalba kar rahi hai
gali ke kinare baiThe faqir ke
chehre se zindagi ki
haiwaniyat ka andaza lagaya ja sakta hai
main ab wo gali ijad karna chahta hun
jo main zindagi ki haiwaniyat
ko tohfa kar sakun
shayad ab tamam udas logon ko
ek nae jazire ki taraf hijrat karni chahiye
aur KHushiyon ka ek parcham us par lahra kar
ghamon ko ek bose ke sath
alwidaa kahna hoga
magar sapne dekh kar KHud ko
dilasa dene ki aadat
main ab tark kar chuka hun
darwaze ki dastak ne mujhe aur
udas kar diya hai
pahli bar mere KHat ka jawab
itne jaldi aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.