buDhapa
yuuñ gumāñ ho rahā hai mere nadīm
jaise ab gulsitāñ meñ rañg nahīñ
jaise ab dil meñ kuchh umañg nahīñ
āsmān badliyoñ kī zad meñ hai
zard-ālūd haiñ fazā.eñ bhī
surḳh sūraj kī kapkapātī kiran
chhū rahī hai ufuq ke saa.e ko
phailtī jā rahī hai shab kī lakīr
sehn-e-zindāñ ke chār-pāyoñ par
Dūbtī merī ḳhvābīda āñkheñ
dekhtī jaatī haiñ purāne ḳhvāb
guzre ayyām ke adhūre ḳhvāb
zindagī se bhare sisakte ḳhvāb
dast-o-bāzū haiñ kitne pazh-murda
nabz-e-hastī hai kitnī āhista
ek dil hai ki dhaḌke jaa.e hai
jaise girdāb tā-safīna koī
yun guman ho raha hai mere nadim
jaise ab gulsitan mein rang nahin
jaise ab dil mein kuchh umang nahin
aasman badliyon ki zad mein hai
zard-alud hain fazaen bhi
surKH suraj ki kapkapati kiran
chhu rahi hai ufuq ke sae ko
phailti ja rahi hai shab ki lakir
sehn-e-zindan ke chaar-payon par
Dubti meri KHwabida aankhen
dekhti jati hain purane KHwab
guzre ayyam ke adhure KHwab
zindagi se bhare sisakte KHwab
dast-o-bazu hain kitne pazh-murda
nabz-e-hasti hai kitni aahista
ek dil hai ki dhaDke jae hai
jaise girdab ta-safina koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.