bujha rut
ye mere dil kī pagDanDī pe chaltī nazm hai koī
ki sail-e-vaqt kī bhaTkī huī ik lahr sā lamha
jo āñchal par sitāre aur un āñkhoñ meñ aañsū Taañk detā hai
sitāroñ kī chamak
aur āñsuoñ kī jhilmilāhaT meñ
kisī ehsās-e-gum-gashta se likhā baab hai shāyad
koī sailāb hai shāyad
yā ik be-nām sī rasm-e-ta.alluq kā tarāshā ḳhvāb hai shāyad
jo āñkhoñ meñ utarte hī
kabhī chup kī surañg aur barf sāñsoñ kī laḌī meñ jhūltā hai
aur kabhī bahtā hai sach ban kar
lahū kī har ravānī meñ
nazar se jhāñktī ik umr jaisī rā.egānī meñ
magar
dil kī tahoñ meñ ik ḳhalish sī kasmasātī aur kahtī hai
ye sach kaisā hai ki
jalte hue dil ko gumāñ tak bhī jo chhāñv kā na de paa.e
ye kaisā sach hai
jis kī thaam kar uñglī koī rastoñ meñ kho jaa.e
ye mere dil ki pagDanDi pe chalti nazm hai koi
ki sail-e-waqt ki bhaTki hui ek lahr sa lamha
jo aanchal par sitare aur un aankhon mein aansu Tank deta hai
sitaron ki chamak
aur aansuon ki jhilmilahaT mein
kisi ehsas-e-gum-gashta se likha bab hai shayad
koi sailab hai shayad
ya ek be-nam si rasm-e-talluq ka tarasha KHwab hai shayad
jo aankhon mein utarte hi
kabhi chup ki surang aur barf sanson ki laDi mein jhulta hai
aur kabhi bahta hai sach ban kar
lahu ki har rawani mein
nazar se jhankti ek umr jaisi raegani mein
magar
dil ki tahon mein ek KHalish si kasmasati aur kahti hai
ye sach kaisa hai ki
jalte hue dil ko guman tak bhi jo chhanw ka na de pae
ye kaisa sach hai
jis ki tham kar ungli koi raston mein kho jae
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 169)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.