na iztirab-e-ghaznawi na mashrab-e-ayaz hai
na KHun mein hararaten na soz hai na saz hai
na zauq-e-jam-o-mai-kada na but-kade ki aarzu
na tauf ku-e-yar ka na hasraten na justuju
na zauq-e-tegh-e-naz hai na shauq-e-nawak-e-nazar
na nala-e-hazin-rasa na aah-e-sard mein asar
na ham-nashin na walwala ki lau kahin lagaen hum
na hausla ki saKHtiyan firaq ki uThaen hum
na saz-e-ishq gham-ruba na kaif-za hai jam-e-gham
na iztirab-e-hijr hai na intizar-e-sham-e-gham
na sarKHushi na aaqili na aashiqi na bandagi
na naghma-e-tarab-fiza na gham-taraaz-e-zindagi
masarraten na rahaten mohabbaten na lazzaten
baDhi hui kuduraten baDhi hui adawaten
na dard-mand ishq hain na chaara-saz-e-dard hain
uThe to kya rahe to kya ki rahguzar ki gard hain
na shorishen na kawishen na josh hai na walwala
bujhi hui tabiaten bujha hua sa hausla
agar yahi hai zindagi agar yahi shabab hai
to main kahunga dosto ye mustaqil azab hai