bulawa
zarā Thahro kidhar ham jā rahe haiñ
udhar us chār-dīvārī ke pīchhe
vo būḌhā gorkan chillā rahā hai
''idhar aao qadam jaldī baḌhāo
yahāñ is chār-dīvārī ke andar
janam din se tumhārī muntazir haiñ
vo qabreñ jin kī peshānī pe ab tak
kisī ke naam kā katba nahīñ hai''
zara Thahro kidhar hum ja rahe hain
udhar us chaar-diwari ke pichhe
wo buDha gorkan chilla raha hai
idhar aao qadam jaldi baDhao
yahan is chaar-diwari ke andar
janam din se tumhaari muntazir hain
wo qabren jin ki peshani pe ab tak
kisi ke nam ka katba nahin hai
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 197)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.