bulawa
chalo us koh par ab ham bhī chaḌh jaa.eñ
jahāñ par jā ke phir koī bhī vāpas nahīñ aatā
sunā hai ik nidā-e-ajnabī bāhoñ ko phailā.e
jo aa.e us kā istiqbāl kartī hai
use tārīkiyoñ meñ le ke āḳhir Duub jaatī hai
yahī vo rāsta hai jis jagah saaya nahīñ jaatā
jahāñ par jā ke phir koī kabhī vāpas nahīñ aatā
jo sach pūchho to ham tum zindagī bhar hārte aa.e
hamesha be-yaqīnī ke ḳhatar se kāñpte aa.e
hamesha ḳhauf ke pairāhanoñ se apne paikar Dhāñpte aa.e
hamesha dūsroñ ke saa.e meñ ik dūsre ko chāhte aa.e
burā kyā hai agar us koh ke dāman meñ chhup jaa.eñ
jahāñ par jā ke phir koī kabhī vāpas nahīñ aatā
kahāñ tak apne bosīda badan mahfūz rakkheñge
kisī ke nāḳhunoñ hī kā muqaddar jaag lene do
kahāñ tak saañs kī Dorī se rishte jhuuT ke bāñdheñ
kisī ke panjā-e-be-dard hī se TuuT jaane do
phir is ke ba.ad to bas ik sukūt-e-mustaqil hogā
na koī surḳh-rū hogā, na koī munfa.il hogā
chalo us koh par ab hum bhi chaDh jaen
jahan par ja ke phir koi bhi wapas nahin aata
suna hai ek nida-e-ajnabi bahon ko phailae
jo aae us ka istiqbaal karti hai
use tarikiyon mein le ke aaKHir Dub jati hai
yahi wo rasta hai jis jagah saya nahin jata
jahan par ja ke phir koi kabhi wapas nahin aata
jo sach puchho to hum tum zindagi bhar haarte aae
hamesha be-yaqini ke KHatar se kanpte aae
hamesha KHauf ke pairahanon se apne paikar Dhanpte aae
hamesha dusron ke sae mein ek dusre ko chahte aae
bura kya hai agar us koh ke daman mein chhup jaen
jahan par ja ke phir koi kabhi wapas nahin aata
kahan tak apne bosida badan mahfuz rakkhenge
kisi ke naKHunon hi ka muqaddar jag lene do
kahan tak sans ki Dori se rishte jhuT ke bandhen
kisi ke panja-e-be-dard hi se TuT jaane do
phir is ke baad to bas ek sukut-e-mustaqil hoga
na koi surKH-ru hoga, na koi munfail hoga
- Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.