bulandi aur pasti
Interesting Fact
Note: This Nazm abides the words of Maulana Hali, ubiquitously. Most proverbs and stanzas have been taken in full for the sake of avoiding plagrism
zarā pastī-e-qaum-o-millat ko dekho
aur is kī zarā zaar hālat ko dekho
zarā daa.eñ aur baa.eñ gardan phirāo
aur ham-sāya qaumoñ kī hālat ko dekho
har ik qaum hai ilm-o-hikmat meñ aage
aur apnī tabāhī-o-ġhurbat ko dekho
har ik qaum bedār hai kis tarah se
aur apne bhī tum ḳhvāb-e-ġhaflat ko dekho
khulī har taraf haiñ taraqqī kī rāheñ
jo tum vaqt aur apnī hālat ko dekho
jahāñ meñ panapne kī kyā kyā haiñ rāheñ
kitāb-e-taraqqī-o-nusrat ko dekho
karo ġhaur pastī pe apnī zarā tum
aur agle buzurgoñ kī azmat ko dekho
sabab kyā huā mil ga.e ḳhaak meñ ham
jo the gard-e-rāh un kī izzat ko dekho
ḳhudā ke ġhazab kī nishānī hai zāhir
ye bigḌī huī apnī hālat ko dekho
agar bhuul baiThe ho paiġhām-e-ḳhāliq
hadīs aur qur.ān kī aayat ko dekho
ki ham ne bigāḌā nahīñ koī ab tak
vo bigḌā nahīñ aap duniyā meñ jab tak
zara pasti-e-qaum-o-millat ko dekho
aur is ki zara zar haalat ko dekho
zara daen aur baen gardan phirao
aur ham-saya qaumon ki haalat ko dekho
har ek qaum hai ilm-o-hikmat mein aage
aur apni tabahi-o-ghurbat ko dekho
har ek qaum bedar hai kis tarah se
aur apne bhi tum KHwab-e-ghaflat ko dekho
khuli har taraf hain taraqqi ki rahen
jo tum waqt aur apni haalat ko dekho
jahan mein panapne ki kya kya hain rahen
kitab-e-taraqqi-o-nusrat ko dekho
karo ghaur pasti pe apni zara tum
aur agle buzurgon ki azmat ko dekho
sabab kya hua mil gae KHak mein hum
jo the gard-e-rah un ki izzat ko dekho
KHuda ke ghazab ki nishani hai zahir
ye bigDi hui apni haalat ko dekho
agar bhul baiThe ho paigham-e-KHaliq
hadis aur quran ki aayat ko dekho
ki hum ne bigaDa nahin koi ab tak
wo bigDa nahin aap duniya mein jab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.