bulbul aur gulab
bulbul
ai rang bhare gulāb ke phuul
is shaan is āb-o-tāb ke phuul
dilchasp bahut haiñ rang tere
haiñ mujh ko pasand Dhang tere
khiltā hai jo tū is anjuman meñ
lagtī hai ik aag sī chaman meñ
kyā ye asar hai pankhuḌī meñ
kaisī hai chaTak kalī kalī meñ
kis ne tujhe is-qadar sajāyā
kis ne tujhe baaġh meñ khilāyā
kyoñ tujh meñ hai dilkashī ziyāda
kis mulk kā tū hai shāh-zāda
gulāb
ai rang bhare tarāne vaalī
gulshan meñ bahār gaane vaalī
ai baaġh kī lā-javāb chiḌiyā
ai shefta-e-gulāb chiḌiyā
jis ne tujhe chahchahe diye haiñ
dilchasp ye zamzame diye haiñ
us ne mujhe phuul hai banāyā
ik peḌ kī shāḳh se ugāyā
sab phuul haiñ mere aage saada
us baaġh kā huuñ maiñ shāhzāda
mujh sā nahīñ aur koī ḳhush-baḳht
hai mere liye bihār kā taḳht
bulbul
pyāre mire ai gulāb ke phuul
ai gulshan-e-lā-javāb ke phuul
rangīn ḳhamosh sīdhe saade
ai mulk-e-chaman ke shāhzāde
kartī hai bahār jab kinārā
ho jaatā hai zard baaġh saarā
aatā nahīñ kyuuñ mujhe nazar tū
jaatā hai chhupā chhupā kidhar tū
murjhātī haiñ terī saarī kaliyāñ
rahtī nahīñ phir ye rang-raliyāñ
uḌ jaatī hai bū hinā kī mānind
hotā hai fanā havā kī mānind
gulāb
ai mutriba-e-bahār bulbul
ai āshiq-e-be-qarār bulbul
hotā huuñ maiñ ḳhaak hī se paidā
āḳhir ko huuñ ḳhaak hī meñ miltā
ġham-ḳhvār bhī ġham-gusār bhī hai
maañ bhī hai yahī mazār bhī hai
duniyā meñ haiñ jitne phuul kaliyāñ
hai sab meñ baqā fanā numāyāñ
murjhā ke har ek phuul pattā
hotā hai phir is zamīñ se paidā
har phuul meñ hai ḳhudā kī qudrat
har ḳhaar meñ hai usī kī hikmat
bulbul
ai rang bhare gulab ke phul
is shan is aab-o-tab ke phul
dilchasp bahut hain rang tere
hain mujh ko pasand Dhang tere
khilta hai jo tu is anjuman mein
lagti hai ek aag si chaman mein
kya ye asar hai pankhuDi mein
kaisi hai chaTak kali kali mein
kis ne tujhe is-qadar sajaya
kis ne tujhe bagh mein khilaya
kyon tujh mein hai dilkashi ziyaada
kis mulk ka tu hai shah-zada
gulab
ai rang bhare tarane wali
gulshan mein bahaar gane wali
ai bagh ki la-jawab chiDiya
ai shefta-e-gulab chiDiya
jis ne tujhe chahchahe diye hain
dilchasp ye zamzame diye hain
us ne mujhe phul hai banaya
ek peD ki shaKH se ugaya
sab phul hain mere aage sada
us bagh ka hun main shahzada
mujh sa nahin aur koi KHush-baKHt
hai mere liye bihaar ka taKHt
bulbul
pyare mere ai gulab ke phul
ai gulshan-e-la-jawab ke phul
rangin KHamosh sidhe sade
ai mulk-e-chaman ke shahzade
karti hai bahaar jab kinara
ho jata hai zard bagh sara
aata nahin kyun mujhe nazar tu
jata hai chhupa chhupa kidhar tu
murjhati hain teri sari kaliyan
rahti nahin phir ye rang-raliyan
uD jati hai bu hina ki manind
hota hai fana hawa ki manind
gulab
ai mutriba-e-bahaar bulbul
ai aashiq-e-be-qarar bulbul
hota hun main KHak hi se paida
aaKHir ko hun KHak hi mein milta
gham-KHwar bhi gham-gusar bhi hai
man bhi hai yahi mazar bhi hai
duniya mein hain jitne phul kaliyan
hai sab mein baqa fana numayan
murjha ke har ek phul patta
hota hai phir is zamin se paida
har phul mein hai KHuda ki qudrat
har KHar mein hai usi ki hikmat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.