bulbul aur shair
ai andalīb-e-gulshan maiñ huuñ tirā fidā.ī
is saut-e-jāñ-fazā kī allah re dil-rubā.ī
banda samajh mujhe tū halqa-ba-gosh apnā
tujh se kabhī na hūñgā maiñ tālib-e-rihā.ī
chhup kar chaman meñ aksar gulban kī aaḌ se bhī
pahroñ sunī hai terī jāñ-baḳhsh ḳhush-navā.ī
murda diloñ meñ aksar phūñkī hai ruuh tū ne
ham ne tirī sadā kī dekhī hai jāñ-fazā.ī
ai naġhma-sanj tujh par hai ḳhatm naġhma-sanjī
ik baat maiñ ne lekin tujh meñ kabhī na paa.ī
terī sadā-e-dilkash pahuñchī na duur hargiz
duniyā meñ har jagah par is kī nahīñ rasā.ī
mumkin nahīñ ye tujh se aisā tarāna gūñje
baiThī rahe yahīñ tū lekin zamāna gūñje
ai nukta-sanj shā.ir ye to hai kaam terā
aisā tarāna dekhā be-shak kalām terā
kuchh aisī taan chheḌī mahzūz ho ga.e sab
mamnūn ho rahā hai har ḳhās-o-ām terā
zulf-e-suḳhan kī terī allāh rī rasā.ī
har-sū bichhā huā hai duniyā meñ daam terā
terā kalām kyā hai tasḳhīr kā amal hai
hindū ho yā musalmāñ har ik hai raam terā
sarshār hai zamāna is bāda-e-suḳhan se
duniyā kī mahfiloñ meñ chaltā hai jaam terā
āvāza terā pahuñchā yūnān meñ ajam meñ
vāsif hai ruum terā maddāh shaam terā
tū asia meñ baiThā kartā hai nukta-sanjī
pahuñchā hai jā ke europe lekin kalām terā
chhūTā nahīñ abhī tak pābandī-e-vatan se
ġhurbat meñ kaise pahuñchā 'bāsit' ye naam terā
tere shikasta par meñ parvāz bhī nahīñ hai
aisī rasā to terī āvāz bhī nahīñ hai
ai andalib-e-gulshan main hun tera fidai
is saut-e-jaan-faza ki allah re dil-rubai
banda samajh mujhe tu halqa-ba-gosh apna
tujh se kabhi na hunga main talib-e-rihai
chhup kar chaman mein aksar gulban ki aaD se bhi
pahron suni hai teri jaan-baKHsh KHush-nawai
murda dilon mein aksar phunki hai ruh tu ne
hum ne teri sada ki dekhi hai jaan-fazai
ai naghma-sanj tujh par hai KHatm naghma-sanji
ek baat main ne lekin tujh mein kabhi na pai
teri sada-e-dilkash pahunchi na dur hargiz
duniya mein har jagah par is ki nahin rasai
mumkin nahin ye tujh se aisa tarana gunje
baiThi rahe yahin tu lekin zamana gunje
ai nukta-sanj shair ye to hai kaam tera
aisa tarana dekha be-shak kalam tera
kuchh aisi tan chheDi mahzuz ho gae sab
mamnun ho raha hai har KHas-o-am tera
zulf-e-suKHan ki teri allah ri rasai
har-su bichha hua hai duniya mein dam tera
tera kalam kya hai tasKHir ka amal hai
hindu ho ya musalman har ek hai ram tera
sarshaar hai zamana is baada-e-suKHan se
duniya ki mahfilon mein chalta hai jam tera
aawaza tera pahuncha yunan mein ajam mein
wasif hai rum tera maddah sham tera
tu asia mein baiTha karta hai nukta-sanji
pahuncha hai ja ke europe lekin kalam tera
chhuTa nahin abhi tak pabandi-e-watan se
ghurbat mein kaise pahuncha 'basit' ye nam tera
tere shikasta par mein parwaz bhi nahin hai
aisi rasa to teri aawaz bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.