bulbul
maiñ huuñ chahakne vaalī bulbul
mere liye hī khilte haiñ gul
giit sunātī huuñ phūloñ ko
gale lagātī huuñ phūloñ ko
āvāz aisī surīlī paa.ī
merī bolī sab ko bhaa.ī
dam phūloñ kā bhartī huuñ maiñ
phūloñ par hī martī huuñ maiñ
mere lai har ik ko bhaa.ī
ḳhush hai mujh se saarī ḳhudā.ī
shā.ir haiñ mashriq meñ jitne
gun gaate haiñ sab hī mere
zāhir meñ huuñ chhoTī lekin
saarā chaman suunā hai mujh bin
laḌko tum to ḳhud ho daanā
bhed ye kyā ab tum ko batānā
merī sadā dilkash hai jo itnī
baat baḌī is meñ nahīñ koī
dī hai ye ne.amat mujh ko ḳhudā ne
moh liye dil merī sadā ne
kaun ḳhudā vo sab kā maulā
jis ne is duniyā ko banāyā
meñh barsāyā paude ugaa.e
rang-birange phuul khilā.e
jin kī bhīnī bhīnī bū se
jangal mahke gulshan mahke
hai vo do-ālam kā rakhvālā
kahte haiñ jis ko bārī-ta.ālā
ham sab kā mālik vo ḳhudā hai
maañ baap aur bhaa.ī se sivā hai
gaatī huuñ giit us ke har dam
jis ne banāyā hai ye aalam
giit usī ke tum bhī gaao
apne rab ko bhuul na jaao
'jauhar' phir duniyā hai tumhārī
suntā hai sab kuchh vo hamārī
fazl ḳhudā kā jab ho jaa.e
jo māñge insān vo paa.e
main hun chahakne wali bulbul
mere liye hi khilte hain gul
git sunati hun phulon ko
gale lagati hun phulon ko
aawaz aisi surili pai
meri boli sab ko bhai
dam phulon ka bharti hun main
phulon par hi marti hun main
mere lai har ek ko bhai
KHush hai mujh se sari KHudai
shair hain mashriq mein jitne
gun gate hain sab hi mere
zahir mein hun chhoTi lekin
sara chaman suna hai mujh bin
laDko tum to KHud ho dana
bhed ye kya ab tum ko batana
meri sada dilkash hai jo itni
baat baDi is mein nahin koi
di hai ye neamat mujh ko KHuda ne
moh liye dil meri sada ne
kaun KHuda wo sab ka maula
jis ne is duniya ko banaya
meinh barsaya paude ugae
rang-birange phul khilae
jin ki bhini bhini bu se
jangal mahke gulshan mahke
hai wo do-alam ka rakhwala
kahte hain jis ko bari-taala
hum sab ka malik wo KHuda hai
man bap aur bhai se siwa hai
gati hun git us ke har dam
jis ne banaya hai ye aalam
git usi ke tum bhi gao
apne rab ko bhul na jao
'jauhar' phir duniya hai tumhaari
sunta hai sab kuchh wo hamari
fazl KHuda ka jab ho jae
jo mange insan wo pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.