Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulbul o parwana

Suroor Jahanabadi

bulbul o parwana

Suroor Jahanabadi

MORE BYSuroor Jahanabadi

    girā rahā hai tirā shauq sham.a par tujh ko

    mujhe ye Dar hai na pahuñche kahīñ zarar tujh ko

    faroġh-e-shola kahāñ aur faroġh-e-husn kahāñ

    hazār haif ki itnī nahīñ ḳhabar tujh ko

    taḌap taḌap ke jo be-iḳhtiyār kartā hai

    nahīñ hai aag ke shola se aah Dar tujh ko

    ye nanhe nanhe par o baal ye sitam tapish

    milā hai aah qayāmat kyā jigar tujh ko

    qarīb sham.a ke aa kar jo thartharātā hai

    nahīñ hai jaan ke jaane ġham magar tujh ko

    milegī ḳhaak bhī DhūñDe na terī mahfil meñ

    sabā uḌaa.e phiregī dam-e-sahar tujh ko

    samajh na sham.a ko dil soz āfiyat dushman

    jalā ke aah rahegī ye musht-e-par tujh ko

    nahīñ hai abhī soz-o-gudāz ke qābil

    nahīñ hai ishq arz o niyāz ke qābil

    tapish ye bazm meñ fānūs par nahīñ achchhī

    ki aag laag o be-ḳhabar nahīñ achchhī

    kaḌī hai aañch mohabbat sham-e-mahfil se

    lagāvTeñ are tufta-jigar nahīñ achchhī

    taḌap taḌap ke na dīvāna-vār sham.a pe gir

    tapish ye shauq kii, o musht-e-par nahīñ achchhī

    ye jāñ-gudāzi-e-soz-e-vafā sar-e-mahfil

    kahīñ na ho tire zarar nahīñ achchhī

    laḌā na sham.a se āñkheñ ki hai udū terī

    tirī nigāh-e-mohabbat-asar nahīñ achchhī

    ye nanhe nanhe paroñ taḌap ye betābī

    Harīf-e-shoḳhi-e-barq-e-nazar nahīñ achchhī

    ye par sameT ke fānūs par tirā girnā

    ye be-ḳhudī are shorīda-sar nahīñ achchhī

    chaman meñ chal ki dikhā.ūñ bahār-e-shāhid-e-gul

    nazar fareb haiñ naqsh-o-nigār-e-shāhid-e-gul

    maiñ bul-havas nahīñ samjhā hai ne kyā mujh ko

    pasand shāhid-e-gul nahīñ adā mujh ko

    firāqe-e-gul meñ maiñ minnta-kash-e-fuġhāñ huuñ dareġh

    ye dāġh-e-soz-e-judā.ī na de ḳhudā mujh ko

    Dil-e-gudāḳhta le kar azal se aayā huuñ

    banāyā bazm meñ hai soz-āshnā mujh ko

    jale vo bazm meñ chup-chāp aur maiñ na jalūñ

    ba.iid ishq se hai ho ġham-e-fanā mujh ko

    tirī nigāh meñ jāñ-soz hai jo ai bulbul

    vo aah aag shola hai jāñ-fazā mujh ko

    khulā hai tujh pe abhī aah rāz-e-ishq kahāñ

    bul-havas hai, tujhe imtiyāz-e-ishq kahāñ

    gira raha hai tera shauq shama par tujh ko

    mujhe ye Dar hai na pahunche kahin zarar tujh ko

    farogh-e-shola kahan aur farogh-e-husn kahan

    hazar haif ki itni nahin KHabar tujh ko

    taDap taDap ke jo be-iKHtiyar karta hai

    nahin hai aag ke shola se aah Dar tujh ko

    ye nanhe nanhe par o baal ye sitam ki tapish

    mila hai aah qayamat ka kya jigar tujh ko

    qarib shama ke aa kar jo thartharaata hai

    nahin hai jaan ke jaane ka gham magar tujh ko

    milegi KHak bhi DhunDe na teri mahfil mein

    saba uDae phiregi dam-e-sahar tujh ko

    samajh na shama ko dil soz aafiyat dushman

    jala ke aah rahegi ye musht-e-par tujh ko

    nahin hai tu abhi soz-o-gudaz ke qabil

    nahin hai ishq ki arz o niyaz ke qabil

    tapish ye bazm mein fanus par nahin achchhi

    ki aag lag ki o be-KHabar nahin achchhi

    kaDi hai aanch mohabbat ki sham-e-mahfil se

    lagawTen are tufta-jigar nahin achchhi

    taDap taDap ke na diwana-war shama pe gir

    tapish ye shauq ki, o musht-e-par nahin achchhi

    ye jaan-gudazi-e-soz-e-wafa sar-e-mahfil

    kahin na ho tere ji ka zarar nahin achchhi

    laDa na shama se aankhen ki hai udu teri

    teri nigah-e-mohabbat-asar nahin achchhi

    ye nanhe nanhe paron ki taDap ye betabi

    Harif-e-shoKHi-e-barq-e-nazar nahin achchhi

    ye par sameT ke fanus par tera girna

    ye be-KHudi are shorida-sar nahin achchhi

    chaman mein chal ki dikhaun bahaar-e-shahid-e-gul

    nazar fareb hain naqsh-o-nigar-e-shahid-e-gul

    main bul-hawas nahin samjha hai tu ne kya mujh ko

    pasand shahid-e-gul ki nahin ada mujh ko

    firaqe-e-gul mein main minnta-kash-e-fughan hun daregh

    ye dagh-e-soz-e-judai na de KHuda mujh ko

    Dil-e-gudaKHta le kar azal se aaya hun

    banaya bazm mein hai soz-ashna mujh ko

    jale wo bazm mein chup-chap aur main na jalun

    baid ishq se hai ho gham-e-fana mujh ko

    teri nigah mein jaan-soz hai jo ai bulbul

    wo aah aag ka shola hai jaan-faza mujh ko

    khula hai tujh pe abhi aah raaz-e-ishq kahan

    tu bul-hawas hai, tujhe imtiyaz-e-ishq kahan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now