buqraat bahut khata tha
ham ne mahbūb ke aivān meñ jā kar dekhā
chiin meñ misr meñ īrān meñ jā kar dekhā
ruus meñ shaam meñ sudan meñ jā kar dekhā
aur phir ḳhāna-e-sultān meñ jā kar dekhā
nosh-o-ḳhurdan hai navishta tire dīvāne kā
jab huī ḳhushk to mahbūb kī kākul ne kahā
vo jo maike ga.iiñ un se yahī bābul ne kahā
okhle vāloñ se jamunā ke na.e pul ne kahā
aur sunte haiñ ki babbū se ye abdul ne kahā
nosh-o-ḳhurdan hai navishta tire dīvāne kā
roTiyāñ baiTh ke hotel meñ pakātā hai koī
madrase meñ koī paḌhtā hai paḌhātā hai koī
apnī Dholak liye darbār meñ gaatā hai koī
aur Daflī sar-e-bāzār bajātā hai koī
nosh-o-ḳhūrdan hai navishta tire dīvāne kā
tujh ko fursat hī nahīñ apne jahāñ se mahbūb
tū nikaltā hai kabhī apne makāñ se mahbūb
phir ye ilhām huā tujh ko kahāñ se mahbūb
maiñ ne akasr ye sunā hai tirī maañ se mahbūb
nosh-o-ḳhūrdan hai navishta tire dīvāne kā
faaqa kar ke na buḌhāpe meñ javānī Daalo
peT meñ pahle mire kuchh to bhavānī Daalo
phir gale meñ mire ulfat kī nishānī Daalo
ghē mire khāne meñ kuchh aur mamānī Daalo
nosh-o-ḳhurdan hai navishta tire dīvāne kā
khāne piine se jo mohlat kabhī pā jaatā thā
har mo.arriḳh sar-e-tārīḳh pe farmātā thā
vo arastū ho ki buqrāt bahut khātā thā
aur phir raat ko akasr yahī barrātā thā
nosh-o-ḳhūrdan hai navishta tire dīvāne kā
hum ne mahbub ke aiwan mein ja kar dekha
chin mein misr mein iran mein ja kar dekha
rus mein sham mein sudan mein ja kar dekha
aur phir KHana-e-sultan mein ja kar dekha
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
jab hui KHushk to mahbub ki kakul ne kaha
wo jo maike gain un se yahi babul ne kaha
okhle walon se jamuna ke nae pul ne kaha
aur sunte hain ki babbu se ye abdul ne kaha
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
roTiyan baiTh ke hotel mein pakata hai koi
madrase mein koi paDhta hai paDhata hai koi
apni Dholak liye darbar mein gata hai koi
aur Dafli sar-e-bazar bajata hai koi
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
tujh ko fursat hi nahin apne jahan se mahbub
tu nikalta hai kabhi apne makan se mahbub
phir ye ilham hua tujh ko kahan se mahbub
main ne akasr ye suna hai teri man se mahbub
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
faqa kar ke na buDhape mein jawani Dalo
peT mein pahle mere kuchh to bhawani Dalo
phir gale mein mere ulfat ki nishani Dalo
ghee mere khane mein kuchh aur mamani Dalo
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
khane pine se jo mohlat kabhi pa jata tha
har moarriKH sar-e-tariKH pe farmata tha
wo arastu ho ki buqraat bahut khata tha
aur phir raat ko akasr yahi barraata tha
nosh-o-KHurdan hai nawishta tere diwane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.