bus ka safar
un hī se pūchhtā huuñ maiñ safar karte haiñ jo bus meñ
ki de dete ho apnī zindagī kyuuñ ġhair ke bas meñ
ye bus vo hai ki bas ho jaa.e jab motor to bantī hai
saḌak par ruuTh jaa.e to baḌī mushkil se mantī hai
ye akasr baiThne vāloñ ke dhakkoñ se khisaktī hai
kabhī kashtī meñ dariyā hai kabhī dariyā meñ kashtī hai
safar karte haiñ is meñ jab barātī aur dulhan dūlhā
to ban jaatī hai motor jā.idād-e-ġhair-manqūla
aur is ke ba.ad agar tārīk hai shab duur manzil hai
to karte haiñ tavāf is kā vo majnūñ jin kī mahmil hai
cleaner se yahī kahtā hai shofer ho ke bechārā
''ki kas nakashūd-o-nakashāyad ba-hikmat iiñ muamma raa''
agar us vaqt meñ sardī bhī lag jaa.e to kyā ġham hai
''ye fitna aadmī kī ḳhāna-vīrānī ko kyā kam hai''
jo ruk jaa.e ravāñ kyuuñ ho jo baḌhiyā hai javāñ kyuuñ ho
''huī ye dost jin kī dushman un kā āsmāñ kyuuñ ho''
barātī khīñchte ye jā.idād aate haiñ shahroñ meñ
jo rasta chand ghaḌiyoñ kā hai vo kaTtā hai pahroñ meñ
zarā se ek pañkchar se bigaḌtā hai siñghār is kā
havā par jis kī hastī ho bhalā kyā e'tibār us kā
ġhubār aur gard kā aur tel kī bū kā ḳhazīna hai
ye motor-car aur ''gaDDe'' kī aulād-e-narīna hai
milī gaDDe se ra.anā.ī o zebā.ī virāsat meñ
ḳhar-e-dajjāl se miltī hai sūrat meñ malāhat meñ
samāte haiñ phir us meñ Thas ke yuuñ be-lutf-o-āsā.ish
nahīñ rahtī hai nāloñ ke nikalne kī bhī gunjā.ish
basoñ kī chhat pe lad kar duudh ke bartan jo aate haiñ
saroñ par shiir kā bārān-e-rahmat vo girāte haiñ
vo nādāñ haiñ jo is bārish pe naak aur bhauñ chaḌhāte haiñ
sile meñ saḳht-jānī ke ye jū-e-shīr paate haiñ
paḌā hogā basoñ meñ aap ko aisoñ se bhī paalā
uThī khujlī to apne saath sāthī ko khujā Daalā
un hi se puchhta hun main safar karte hain jo bus mein
ki de dete ho apni zindagi kyun ghair ke bas mein
ye bus wo hai ki bas ho jae jab motor to banti hai
saDak par ruTh jae to baDi mushkil se manti hai
ye akasr baiThne walon ke dhakkon se khisakti hai
kabhi kashti mein dariya hai kabhi dariya mein kashti hai
safar karte hain is mein jab baraati aur dulhan dulha
to ban jati hai motor jaidad-e-ghair-manqula
aur is ke baad agar tarik hai shab dur manzil hai
to karte hain tawaf is ka wo majnun jin ki mahmil hai
cleaner se yahi kahta hai shofer ho ke bechaara
ki kas nakashud-o-nakashayad ba-hikmat in muamma ra
agar us waqt mein sardi bhi lag jae to kya gham hai
ye fitna aadmi ki KHana-virani ko kya kam hai
jo ruk jae rawan kyun ho jo baDhiya hai jawan kyun ho
hui ye dost jin ki dushman un ka aasman kyun ho
baraati khinchte ye jaidad aate hain shahron mein
jo rasta chand ghaDiyon ka hai wo kaTta hai pahron mein
zara se ek pankchar se bigaDta hai singhaar is ka
hawa par jis ki hasti ho bhala kya e'tibar us ka
ghubar aur gard ka aur tel ki bu ka KHazina hai
ye motor-car aur gaDDe ki aulad-e-narina hai
mili gaDDe se ranai o zebai wirasat mein
KHar-e-dajjal se milti hai surat mein malahat mein
samate hain phir us mein Thas ke yun be-lutf-o-asaish
nahin rahti hai nalon ke nikalne ki bhi gunjaish
bason ki chhat pe lad kar dudh ke bartan jo aate hain
saron par shir ka baran-e-rahmat wo giraate hain
wo nadan hain jo is barish pe nak aur bhaun chaDhate hain
sile mein saKHt-jaani ke ye ju-e-shir pate hain
paDa hoga bason mein aap ko aison se bhi pala
uThi khujli to apne sath sathi ko khuja Dala
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 114)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.