bus-satand par
ḳhudāyā ab ke ye kaisī bahār ā.ī''
ḳhudā se kyā gila bhaa.ī
ḳhudā to ḳhair kis ne us kā aks-e-naqsh-e-pā dekhā
na dekhā to bhī dekhā aur dekhā bhī to kyā dekhā
magar tauba mirī tauba ye insāñ bhī to āḳhir ik tamāshā hai
ye jis ne pichhlī Tāñgoñ par khaḌā honā baḌe jatanoñ se sīkhā hai
abhī kal tak jab us ke abrūoñ tak mū-e-pechāñ the
abhī kal tak jab us ke hoñT mahrūm-e-zanaḳhdāñ the
ridā-e-sad-zamāñ oḌhe laraztā kāñptā baiThā
zamīr-e-sañg se bas ek chiñgārī kā tālib thā
magar ab to ye ūñchī mamTiyoñ vaale jilau-ḳhānoñ meñ basta hai
hamāre hī laboñ se muskurāhaT chhīn kar ab ham pe hañstā hai
ḳhudā us kā ḳhudā.ī us kī har shai us kī ham kyā haiñ
chamaktī motoroñ se uḌne vaalī dhuul kā nāchīz zarra haiñ
hamārī hī tarah jo pā.emāl-e-satvat-e-amīrī-o-shāhī meñ
likhokhā ābdīda pā-piyāda dil-zada vāmāñda raahī haiñ
jinheñ nazroñ se gum hote hue rastoñ kī gum-paimā lakīroñ meñ
dikhā.ī de rahī haiñ aane vaalī manziloñ kī dhundlī tasvīreñ
zarūr ik roz badlegā nizām-e-qismat-e-ādam
basegī ik na.ī duniyā sajegā ik nayā aalam
shabistāñ meñ na.ī sham.eñ gulistāñ meñ nayā mausam
''vo rut ai ham-nafas jaane kab aa.egī
vo fasl-e-der-ras jaane kab aa.egī
ye nau number kī bas jaane kab aa.egī
KHudaya ab ke ye kaisi bahaar aai
KHuda se kya gila bhai
KHuda to KHair kis ne us ka aks-e-naqsh-e-pa dekha
na dekha to bhi dekha aur dekha bhi to kya dekha
magar tauba meri tauba ye insan bhi to aaKHir ek tamasha hai
ye jis ne pichhli Tangon par khaDa hona baDe jatanon se sikha hai
abhi kal tak jab us ke abruon tak mu-e-pechan the
abhi kal tak jab us ke honT mahrum-e-zanaKHdan the
rida-e-sad-zaman oDhe larazta kanpta baiTha
zamir-e-sang se bas ek chingari ka talib tha
magar ab to ye unchi mamTiyon wale jilau-KHanon mein basta hai
hamare hi labon se muskurahaT chhin kar ab hum pe hansta hai
KHuda us ka KHudai us ki har shai us ki hum kya hain
chamakti motoron se uDne wali dhul ka nachiz zarra hain
hamari hi tarah jo paemal-e-satwat-e-amiri-o-shahi mein
likhokha aabdida pa-piyaada dil-zada wamanda rahi hain
jinhen nazron se gum hote hue raston ki gum-paima lakiron mein
dikhai de rahi hain aane wali manzilon ki dhundli taswiren
zarur ek roz badlega nizam-e-qismat-e-adam
basegi ek nai duniya sajega ek naya aalam
shabistan mein nai shamen gulistan mein naya mausam
wo rut ai ham-nafas jaane kab aaegi
wo fasl-e-der-ras jaane kab aaegi
ye nau number ki bas jaane kab aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.