but-tarash
ik fusūñ-kār but-tarāsh huuñ maiñ
zindagī kī tavīl rātoñ ko
baar haale ke tesha-e-afkār
but tarāshe haiñ saiñkaḌoñ maiñ ne
tire sāñche meñ Dhālne ke liye
chāñd se nor-e-marmarīñ le kar
terā sīmīñ badan tarāsh liyā
mehr se tāb-e-ātishīñ le kar
tire rañgīñ laboñ kā ruup diyā
le ke tauba kī ambarīñ saa.e
terī zulfoñ ke baal mahkā.e
ghuum kar ḳhuld kī fazāoñ meñ
sarmadī sarḳhushī uThā laayā
rañg bhar kar tirī adāoñ meñ
abadī rāhatoñ ko sharmāyā
le ke sīmā-e-hūr kī taqdīs
chhīn kar maiñ ne qudsiyoñ kā vaqār
zindagī dī tirī nigāhoñ ko
aur banā.īñ tirī hasīñ āñkheñ
nazar-e-bad kahīñ na lag jaa.e
maiñ ne tāroñ se chhīn leñ āñkheñ
phir bhī maiñ tujh se duur duur rahā
phir bhī tujh se na mil sakīñ āñkheñ
yuuñ to ik kohna but-tarāsh huuñ meñ
zindagī kī tavīl rātoñ ko
baar haale ke tesha-e-afkār
but-tarāshe haiñ saiñkaḌoñ maiñ ne
but-tarāshe haiñ toḌ Daale haiñ
ek fusun-kar but-tarash hun main
zindagi ki tawil raaton ko
bar haale ke tesha-e-afkar
but tarashe hain sainkaDon main ne
tere sanche mein Dhaalne ke liye
chand se nor-e-marmarin le kar
tera simin badan tarash liya
mehr se tab-e-atishin le kar
tere rangin labon ka rup diya
le ke tauba ki ambarin sae
teri zulfon ke baal mahkae
ghum kar KHuld ki fazaon mein
sarmadi sarKHushi uTha laya
rang bhar kar teri adaon mein
abadi rahaton ko sharmaya
le ke sima-e-hur ki taqdis
chhin kar main ne qudsiyon ka waqar
zindagi di teri nigahon ko
aur banain teri hasin aankhen
nazar-e-bad kahin na lag jae
main ne taron se chhin len aankhen
phir bhi main tujh se dur dur raha
phir bhi tujh se na mil sakin aankhen
yun to ek kohna but-tarash hun mein
zindagi ki tawil raaton ko
bar haale ke tesha-e-afkar
but-tarashe hain sainkaDon main ne
but-tarashe hain toD Dale hain
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 268)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.