buz-dili
Interesting Fact
A satirical poem on Shaad Aarfi on his demise
ye koī tarīqa hai tanz yuuñ nahīñ karte 'shād'-ārfī-sāhib
aap jaise dil vaale is tarah nahīñ marte 'shād'-ārfī-sāhib
bāġhbāñ kī sāzish se phuul toḌ kar gulchīñ ḳhaar meñ piro.eñge
naam le ke tūfāñ kā nāḳhudā safīnoñ ko ret meñ Dibo.eñge
aap kī tamannā thī jail jā ke marne kī bhuul ho ga.ī shāyad
lūTtī rahī paiham saaTh saal jo duniyā yuuñ na baḳhshiye us ko
maañ kī maut par apnā jo makān bechā thā yaad kījiye us ko
'shād'-ārfī-sāhib aap ko to duniyā se intiqām lenā hai
sochiye zamāne ne aap ko diyā kyā hai aap se liyā kyā hai
fikr-o-fan ke badle meñ talḳhiyāñ atā kī haiñ jis samāj ne qibla
pur-ḳhulūs siine par barchhiyāñ chalā.ī haiñ jis samāj ne qibla
aap kī ḳhamoshī par vo samāj hañstā hai dekh lījiye muḌ kar
phir koī na.ī phabtī tanz kā koī nashtar vaar kījiye muḌ kar
buz-dilī na hogī kyā zindagī ke mujrim ko yuuñ muaaf kar denā
maut kā to matlab hai zulm ke liye rāheñ aur saaf kar denā
ḳhair ham samajhte haiñ maut se nahīñ Darte 'shād'-ārfī-sāhib
ye bhī tanz hī hogā mar ke bhī nahīñ marte 'shād'-ārfī-sāhib
ye koi tariqa hai tanz yun nahin karte 'shad'-arfi-sahib
aap jaise dil wale is tarah nahin marte 'shad'-arfi-sahib
baghban ki sazish se phul toD kar gulchin KHar mein piroenge
nam le ke tufan ka naKHuda safinon ko ret mein Diboenge
aap ki tamanna thi jail ja ke marne ki bhul ho gai shayad
luTti rahi paiham saTh sal jo duniya yun na baKHshiye us ko
man ki maut par apna jo makan becha tha yaad kijiye us ko
'shad'-arfi-sahib aap ko to duniya se intiqam lena hai
sochiye zamane ne aap ko diya kya hai aap se liya kya hai
fikr-o-fan ke badle mein talKHiyan ata ki hain jis samaj ne qibla
pur-KHulus sine par barchhiyan chalai hain jis samaj ne qibla
aap ki KHamoshi par wo samaj hansta hai dekh lijiye muD kar
phir koi nai phabti tanz ka koi nashtar war kijiye muD kar
buz-dili na hogi kya zindagi ke mujrim ko yun muaf kar dena
maut ka to matlab hai zulm ke liye rahen aur saf kar dena
KHair hum samajhte hain maut se nahin Darte 'shad'-arfi-sahib
ye bhi tanz hi hoga mar ke bhi nahin marte 'shad'-arfi-sahib
- Book : kamaan (Pg. 352)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.