buzdil
hujūm-e-sañg-e-anā aur zabt-e-paiham ne
misāl-e-reg-e-ravāñ be-qarār rakkhā hai
mire vajūd kī vahshat ne raat bhar mujh ko
ġhubār-e-qāfila-e-intizār rakkhā hai
ba-pesh-e-ḳhidmat-e-chashm-e-sarāb-ālūda
havā ne dast-e-talab baar baar rakkhā hai
maiñ terī yaad ke jaadū meñ thā sahar mujh ko
na-jāne kaun sī manzil pe lā ke chhoḌ ga.ī
ki saañs saañs meñ tere badan kī ḳhushbū hai
qadam qadam pe tirī āhaToñ kā Derā hai
magar nazar meñ faqat shab-zada saverā hai
tahī tahī se manāzir haiñ gard gard fazā
matā-e-umr vahī ek ḳhvāb terā hai
tire jamāl kā partav nahīñ magar phir bhī
ḳhayāl ā.īna-ḳhāna sajā.e baiThā hai
jidhar bhī aañkh uThātā huuñ ek vahshat hai
tū hī batā ki kahāñ tak fareb duuñ ḳhud ko
ki merā aks mire ḳhauf kī shahādat hai
mirā vajūd hai aur shahr-e-sañg-bārāñ hai
bachā.ūñ jaan ki ta.amīr-e-qasr-e-zāt karūñ
maiñ apnā haath baġhal meñ dabā.e sochtā huuñ
mire nasīb meñ sūraj kahāñ jo baat karūñ
maiñ vādiyoñ kī masāfat se kis liye niklūñ
safar ik aur pahāḌoñ ke paar rakkhā hai
hujum-e-sang-e-ana aur zabt-e-paiham ne
misal-e-reg-e-rawan be-qarar rakkha hai
mere wajud ki wahshat ne raat bhar mujh ko
ghubar-e-qafila-e-intizar rakkha hai
ba-pesh-e-KHidmat-e-chashm-e-sarab-aluda
hawa ne dast-e-talab bar bar rakkha hai
main teri yaad ke jadu mein tha sahar mujh ko
na-jaane kaun si manzil pe la ke chhoD gai
ki sans sans mein tere badan ki KHushbu hai
qadam qadam pe teri aahaTon ka Dera hai
magar nazar mein faqat shab-zada sawera hai
tahi tahi se manazir hain gard gard faza
mata-e-umr wahi ek KHwab tera hai
tere jamal ka partaw nahin magar phir bhi
KHayal aaina-KHana sajae baiTha hai
jidhar bhi aankh uThata hun ek wahshat hai
tu hi bata ki kahan tak fareb dun KHud ko
ki mera aks mere KHauf ki shahadat hai
mera wajud hai aur shahr-e-sang-baran hai
bachaun jaan ki tamir-e-qasr-e-zat karun
main apna hath baghal mein dabae sochta hun
mere nasib mein suraj kahan jo baat karun
main wadiyon ki masafat se kis liye niklun
safar ek aur pahaDon ke par rakkha hai
- Book : Barzakh (Pg. 62)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Mawara Publishers, Bahawalpur Road Lahore (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.