byopar
laao mujh ko dikhlāo to
āñkhoñ meñ haiñ kaise ḳhvāb
kachche haiñ yā pakke ḳhvāb
achchhā in ke daam batāo
dekho itnā zehn meñ rakhnā
us bāzār meñ ḳhvāboñ ke ab daam gire haiñ
sach sach meñ ik baat batā.ūñ
barsoñ pahle maiñ ne bhī ye kaam kiyā thā
ḳhvāb bune the ḳhvāb the beche
mujh ko to ye gorakh-dhandā raas na aayā
niiñd gañvā.ī chain gañvāyā
dekho merā kahnā maano
aisā kārobār na karnā
ḳhvāboñ kā byopār na karnā
aise kārobār meñ aksar
ghāTā sahnā paḌtā hai
kachche sapne TuuT gireñ to
āñkheñ chhalnī karte haiñ
niiñd kā panchhī kho jaatā hai
jiinā mushkil ho jaatā hai
lao mujh ko dikhlao to
aankhon mein hain kaise KHwab
kachche hain ya pakke KHwab
achchha in ke dam batao
dekho itna zehn mein rakhna
us bazar mein KHwabon ke ab dam gire hain
sach sach mein ek baat bataun
barson pahle main ne bhi ye kaam kiya tha
KHwab bune the KHwab the beche
mujh ko to ye gorakh-dhanda ras na aaya
nind ganwai chain ganwaya
dekho mera kahna mano
aisa karobar na karna
KHwabon ka byopar na karna
aise karobar mein aksar
ghaTa sahna paDta hai
kachche sapne TuT giren to
aankhen chhalni karte hain
nind ka panchhi kho jata hai
jina mushkil ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.