gawahi
maiñ mohabbat ke sitāroñ se nikaltā huā nuur
haq-o-nāhaq ke libādoñ meñ chhupā ek shu.ūr
mere hī dam se huā masjid-o-mandir kā zuhūr
maiñ musalmān-o-barahman ke irādoñ kā futūr
maiñ hayā-zādī-o-ḳhush-nain ke hoñToñ kā surūr
kisī majbūr tavā.if kī nigāhoñ kā qusūr
merī ḳhvāhish thī ki maiñ ḳhud hī zamīñ par jā.ūñ
aur zamīñ-zād kā ḳhud jā ke maiñ anjām karūñ
vo zamīñ-zād ki ehsān-farāmosh hai jo
vo zamīñ-zād ki jo ḳhud hī zamīñ par utrā
aur zamīñ vo jo vafādār nahīñ ho saktī
vo zamīñ jis pe ka.ī ḳhuun ke ilzām lage
vo zamīñ jis ne yahāñ dekhe haiñ kaTte hue sar
vo zamīñ detī rahī hai jo gunāhoñ ko panāh
vo zamīñ jis ne chhupā.e haiñ ka.ī rāz-o-niyāz
sāzisheñ hotī rahīñ jis pe mohabbat ke ḳhilāf
aur vo chup hai ugaltī hī nahīñ ek bhī lafz
mas.ala ye hai ki ab kis se gavāhī māñgūñ
main mohabbat ke sitaron se nikalta hua nur
haq-o-nahaq ke libaadon mein chhupa ek shuur
mere hi dam se hua masjid-o-mandir ka zuhur
main musalman-o-barahman ke iradon ka futur
main haya-zadi-o-KHush-nain ke honTon ka surur
kisi majbur tawaif ki nigahon ka qusur
meri KHwahish thi ki main KHud hi zamin par jaun
aur zamin-zad ka KHud ja ke main anjam karun
wo zamin-zad ki ehsan-faramosh hai jo
wo zamin-zad ki jo KHud hi zamin par utra
aur zamin wo jo wafadar nahin ho sakti
wo zamin jis pe kai KHun ke ilzam lage
wo zamin jis ne yahan dekhe hain kaTte hue sar
wo zamin deti rahi hai jo gunahon ko panah
wo zamin jis ne chhupae hain kai raaz-o-niyaz
sazishen hoti rahin jis pe mohabbat ke KHilaf
aur wo chup hai ugalti hi nahin ek bhi lafz
masala ye hai ki ab kis se gawahi mangun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.