chu ki lafzi tahqiq
ashnān karne ghar se chale lāla-lāl-chand
aur aage aage laala ke un kī bahū ga.ī
pūchhā jo maiñ ne laala lallā.in kahāñ ga.iiñ
nīchī nazar se kahne lage vo bhī chū ga.ī
maiñ ne diyā javāb unheñ az-rah-e-mazāq
kyā vo bhī koī chhat thī ki bārish se chū ga.ī
kahne lage ki aap bhī haiñ masḳhare ajab
ab tak bhī aap se na tamasḳhur kī ḳhū ga.ī
chū hoshiyār par maiñ nadī se hai ye murād
biibī tamīz bhī haiñ vahīñ karne vuzū ga.ī
maiñ ne kahā ki chū se agar hai murād jū
phir yuuñ kaho ki tā-ba-lab-e-āb-jū ga.ī
kyuuñ aiñThe haiñ maash ke aaTe kī tarah aap
dhotī se aap kī nahīñ haldī kī bū ga.ī
lutf-e-zabāñ se kyā ho sarokār aap ko
dāman ko aap ke nahīñ tahzīb chhū ga.ī
hindī ne aa ke jiim kūche se badal diyā
chū aa.ī kohsār se gulshan se jū ga.ī
lahja huā durusht zabāñ ho ga.ī karaḳht
lutf-e-kalām-o-shistagī-e-guftugū ga.ī
ma.anī ko hai gila ki huā be-hijāb maiñ
shikva hai lafz ko ki mirī aabrū ga.ī
afsos mulk meñ na rahī fārsī kī qadr
mastī uḌī sharāb se phūloñ kī bū ga.ī
ashnan karne ghar se chale lala-lal-chand
aur aage aage lala ke un ki bahu gai
puchha jo main ne lala lallain kahan gain
nichi nazar se kahne lage wo bhi chu gai
main ne diya jawab unhen az-rah-e-mazaq
kya wo bhi koi chhat thi ki barish se chu gai
kahne lage ki aap bhi hain masKHare ajab
ab tak bhi aap se na tamasKHur ki KHu gai
chu hoshiyar par main nadi se hai ye murad
bibi tamiz bhi hain wahin karne wuzu gai
main ne kaha ki chu se agar hai murad ju
phir yun kaho ki ta-ba-lab-e-ab-ju gai
kyun ainThe hain mash ke aaTe ki tarah aap
dhoti se aap ki nahin haldi ki bu gai
lutf-e-zaban se kya ho sarokar aap ko
daman ko aap ke nahin tahzib chhu gai
hindi ne aa ke jim kuche se badal diya
chu aai kohsar se gulshan se ju gai
lahja hua durusht zaban ho gai karaKHt
lutf-e-kalam-o-shistagi-e-guftugu gai
mani ko hai gila ki hua be-hijab main
shikwa hai lafz ko ki meri aabru gai
afsos mulk mein na rahi farsi ki qadr
masti uDi sharab se phulon ki bu gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.