kabhi tu ne ye socha hai
kabhī tū ne ye sochā hai
ki tere lafz sun luuñ to
mire dil meñ hazāroñ phuul khilte haiñ
mire kānoñ kī shunavā.ī
ḳhayāloñ meñ hasīñ paikar banātī hai
ye terī sandalī āvāz
merī saañs kī kuukū
baḌhātī hai
kabhī tū ne ye sochā hai
bhalā kab tak nibhā.uñgī
magar tū yaad rakhnā
ek din maiñ lauT ā.ūñgī
kabhi tu ne ye socha hai
ki tere lafz sun lun to
mere dil mein hazaron phul khilte hain
mere kanon ki shunawai
KHayalon mein hasin paikar banati hai
ye teri sandali aawaz
meri sans ki kuku
baDhati hai
kabhi tu ne ye socha hai
bhala kab tak nibhaungi
magar tu yaad rakhna
ek din main lauT aaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.