mashwara
merī mahbūb ye aañsū haiñ ki motī ruḳh par
un ko is tarah na bekār gañvā maan bhī jā
abhī jalne de ye siina abhī phaTne de dimāġh
ātish-e-ġham ko na ashkoñ se bujhā maan bhī jā
ye nahīñ hai ki maiñ is dard se āgāh nahīñ
tū ġham-e-dahr pe rotī hai patā hai mujh ko
jāntā huuñ maiñ ki is ġham kī haqīqat kyā hai
yahī ġham aur isī shiddat se huā hai mujh ko
haañ magar ham hī nahīñ is ke shikanje ke shikār
apnī hī tarah zamāne meñ hazīñ aur bhī haiñ
apne siine hī nahīñ rañj-o-alam ke madfan
dard ke raaz to poshīda kahīñ aur bhī haiñ
haath par haath dhare sab hoñ agar girya-kunāñ
phir un ashkoñ kā kare kaun mudāvā āḳhir
kis tarah dukh ye Taleñ zaḳhm bhareñ daaġh miTeñ
in tamannāoñ ko de kaun sahārā āḳhir
aaj bebas haiñ to kyā aaj haiñ majbūr to kyā
bebasī hī pe nahīñ ḳhatm kahānī apnī
ġham ke sho.aloñ ko havā de ke agar tez kareñ
rañg lā.egī yahī sho.ala-fishānī apnī
ḳhud-kushī qabr maiñ bhejegī hameñ ġham ko nahīñ
marg-e-hastī meñ kahāñ hai ġham-e-hastī kā ilaaj
qabr meñ lāsheñ hī lāsheñ haiñ tamannāoñ kī
maut ke paas kahāñ apnī ġharībī kā ilaaj
ġham ke zarroñ ko sameTūñ ki baḌe kaam ke haiñ
ye simaT jaa.eñ to ho jaa.e himāla paidā
dard kī aag ko siine meñ vabā rahne do
jab ye bhaḌkegī to kar degī ujālā paidā
meri mahbub ye aansu hain ki moti ruKH par
un ko is tarah na bekar ganwa man bhi ja
abhi jalne de ye sina abhi phaTne de dimagh
aatish-e-gham ko na ashkon se bujha man bhi ja
ye nahin hai ki main is dard se aagah nahin
tu gham-e-dahr pe roti hai pata hai mujh ko
jaanta hun main ki is gham ki haqiqat kya hai
yahi gham aur isi shiddat se hua hai mujh ko
han magar hum hi nahin is ke shikanje ke shikar
apni hi tarah zamane mein hazin aur bhi hain
apne sine hi nahin ranj-o-alam ke madfan
dard ke raaz to poshida kahin aur bhi hain
hath par hath dhare sab hon agar girya-kunan
phir un ashkon ka kare kaun mudawa aaKHir
kis tarah dukh ye Talen zaKHm bharen dagh miTen
in tamannaon ko de kaun sahaara aaKHir
aaj bebas hain to kya aaj hain majbur to kya
bebasi hi pe nahin KHatm kahani apni
gham ke shoalon ko hawa de ke agar tez karen
rang laegi yahi shoala-fishani apni
KHud-kushi qabr main bhejegi hamein gham ko nahin
marg-e-hasti mein kahan hai gham-e-hasti ka ilaj
qabr mein lashen hi lashen hain tamannaon ki
maut ke pas kahan apni gharibi ka ilaj
gham ke zarron ko sameTun ki baDe kaam ke hain
ye simaT jaen to ho jae himala paida
dard ki aag ko sine mein waba rahne do
jab ye bhaDkegi to kar degi ujala paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.