kabhi aisa bhi karna
kabhī aisā bhī karnā
shaam kī dahlīz par
pal-bhar ko ruknā
Dūbte sūraj kā manzar dekhnā
aur sochnā
ki shaam kī gahrī udāsī kā sabab kyā hai
musāfir jab thakā-hārā
sar-e-manzil
kabhī tanhā utartā hai
to kyā mahsūs kartā hai
kabhi aisa bhi karna
sham ki dahliz par
pal-bhar ko rukna
Dubte suraj ka manzar dekhna
aur sochna
ki sham ki gahri udasi ka sabab kya hai
musafir jab thaka-haara
sar-e-manzil
kabhi tanha utarta hai
to kya mahsus karta hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 254)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.