zamīñ ne cigarette jalā rakhī hai
ik do das sau hazār
lākhoñ karoḌoñ cigarette
24 ghanTe sulag rahī haiñ
zamīñ kā siina dhadhak rahā hai
zamīñ kī sāñseñ ukhaḌ rahī haiñ
zamīñ ke tan par har ek din
kuchh karoḌ buildings
na.ī ugī haiñ
ye saale insān ya.anī tumor
to cancers haiñ
zamin ne cigarette jala rakhi hai
ek do das sau hazar
lakhon karoDon cigarette
24 ghanTe sulag rahi hain
zamin ka sina dhadhak raha hai
zamin ki sansen ukhaD rahi hain
zamin ke tan par har ek din
kuchh karoD buildings
nai ugi hain
ye sale insan yani tumor
to cancers hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.