catharsis
ham unheñ pālte haiñ
apne bachchoñ kī tarah
apnā ḳhuun pilā kar
apne hisse kā rizq khilā kar
unheñ sair karāte haiñ
mele Thele aur bāzāroñ kī
apnī uñglī thamā kar
kabhī unheñ
zarq-barq libās pahnā kar
chhoḌ dete haiñ ghane jañgal meñ
be-tahāsha raqs karne ke liye
kabhī kahte haiñ
nadī ke kināre phislan bharī Dhalān par
dauḌ kar titliyāñ pakaḌne ko
aur qahqahe lagāte haiñ
un ke gir jaane par
kabhī unheñ kahte haiñ
chāñd kī banjar zamīn par
gulāb kī kāsht karne ke liye
aur phir sogvār hone kā Dhoñg karte haiñ
un kī mahrūmiyoñ par
aur jab uktā jaate haiñ
is khel se
barf ke safed kafan meñ lapeT kar
raat ke haibatnāk andhiyāre kī qabr meñ
sulā dete haiñ apnī ḳhvāhishoñ ko
hamesha ke liye
aur latīfe sunāne lagte haiñ
dostoñ ko
hum unhen palte hain
apne bachchon ki tarah
apna KHun pila kar
apne hisse ka rizq khila kar
unhen sair karaate hain
mele Thele aur bazaron ki
apni ungli thama kar
kabhi unhen
zarq-barq libas pahna kar
chhoD dete hain ghane jangal mein
be-tahasha raqs karne ke liye
kabhi kahte hain
nadi ke kinare phislan bhari Dhalan par
dauD kar titliyan pakaDne ko
aur qahqahe lagate hain
un ke gir jaane par
kabhi unhen kahte hain
chand ki banjar zamin par
gulab ki kasht karne ke liye
aur phir sogwar hone ka Dhong karte hain
un ki mahrumiyon par
aur jab ukta jate hain
is khel se
barf ke safed kafan mein lapeT kar
raat ke haibatnak andhiyare ki qabr mein
sula dete hain apni KHwahishon ko
hamesha ke liye
aur latife sunane lagte hain
doston ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.