cathorsis
maiñ tire ḳhvāboñ kī dost thī
yaad hai tū ne merī bāñhoñ meñ
bātoñ ke gajre pahnā.e the
tū ne merā jhūTā paanī pī ke
mere hoñT sunahre chamkā.e the
tere ghar meñ aa.ī thī
harf bhī vasl ke pairā.e the
kachche pyāle pe muñh rakh ke
maiñ ne pyaas kī ḳhushbū sūñghī
os ne diid se rishta bāñdhā
ras ne rañg kī cholī pahnī
ghar meñ ḳhvāb kī shāḳh lagā ke
sochā thā dīvār Dhakegī
bail umr yā chaḌh jā.egī
kitne mīThe ḳhvāb the jin kā
zikr karo to hoñT kasīle
kitne anokhe rishte the vo
ḳhvāb se sachche ḳhvāb se jhūTe
jīnā-marnā Dhoñg purānā
bichhaḌ ke tujh se vo bhī jiyegā
tū bhī hañsnegī zinda rahegī
us ke ghar bhī sabhā sajegī
main tere KHwabon ki dost thi
yaad hai tu ne meri banhon mein
baaton ke gajre pahnae the
tu ne mera jhuTa pani pi ke
mere honT sunahre chamkae the
tere ghar mein aai thi
harf bhi wasl ke pairae the
kachche pyale pe munh rakh ke
main ne pyas ki KHushbu sunghi
os ne did se rishta bandha
ras ne rang ki choli pahni
ghar mein KHwab ki shaKH laga ke
socha tha diwar Dhakegi
bail umr ya chaDh jaegi
kitne miThe KHwab the jin ka
zikr karo to honT kasile
kitne anokhe rishte the wo
KHwab se sachche KHwab se jhuTe
jina-marna Dhong purana
bichhaD ke tujh se wo bhi jiyega
tu bhi hansnegi zinda rahegi
us ke ghar bhi sabha sajegi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 404)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.