apni zat ki chori
kal shaam nahr kī paTrī ke saath saath
maiñ apne nā-tavāñ kandhoñ par
ek shikasta borī uThā.e jā rahā thā
ki chīḳh-o-pukār shurūa huī
pakḌo pakḌo qātil qātil
nahr par muta.ayyan police chaukī ke musta.id amle ne
sañgīnoñ se merā ta.āqub kiyā
maiñ apnī tamām-tar quvvat se bhāgne ke bāvajūd
chand hī lamhoñ meñ un kī āhanī giraft meñ thā
police chaukī meñ savāloñ kī bochhāḌ se
merī quvvat-e-goyā.ī javāb de ga.ī
ek makrūh sūrat moñchhoñ vaalā bā-vardī shaḳhs
vahshat-nāk āñkhoñ se amle kī taraf dekhte hue
apnī shadīd karaḳht āvāz meñ chīḳhā
borī kā muñh kholo
saarā amla shashdar rah gayā
ki borī meñ lipTī huī laash merī hī thī
aur maiñ chup sādhe use tak rahā thā
kal sham nahr ki paTri ke sath sath
main apne na-tawan kandhon par
ek shikasta bori uThae ja raha tha
ki chiKH-o-pukar shurua hui
pakDo pakDo qatil qatil
nahr par mutayyan police chauki ke mustaid amle ne
sanginon se mera taaqub kiya
main apni tamam-tar quwwat se bhagne ke bawajud
chand hi lamhon mein un ki aahani giraft mein tha
police chauki mein sawalon ki bochhaD se
meri quwwat-e-goyai jawab de gai
ek makruh surat monchhon wala ba-wardi shaKHs
wahshat-nak aankhon se amle ki taraf dekhte hue
apni shadid karaKHt aawaz mein chiKHa
bori ka munh kholo
sara amla shashdar rah gaya
ki bori mein lipTi hui lash meri hi thi
aur main chup sadhe use tak raha tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 256)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.