talash
mere gaañv meñ mere ghar ke qarīb
jhiil hai ek ḳhūb-sūrat sī
us kā shaffāf nīlgūñ paanī
kitnā ḳhāmosh aur sākin hai
baiTh kar maiñ kabhī kināre par
us ke paanī meñ pheñk kar patthar
us meñ halchal machātā rahtā huuñ
aur is vaqt us kī vo halchal
dil ko kitnā sukūn detī hai
lekin afsos thoḌī der ke ba.ad
ḳhatm ho jaatā hai vo madd-o-jazr
aur maiñ patthar talāsh kartā huuñ
taaki mach jaa.e phir vahī halchal
maiñ ne pheñke haiñ is qadar patthar
ab to mushkil se koī miltā hai
aur vo bhī baḌī talāsh ke ba.ad
mere ganw mein mere ghar ke qarib
jhil hai ek KHub-surat si
us ka shaffaf nilgun pani
kitna KHamosh aur sakin hai
baiTh kar main kabhi kinare par
us ke pani mein phenk kar patthar
us mein halchal machata rahta hun
aur is waqt us ki wo halchal
dil ko kitna sukun deti hai
lekin afsos thoDi der ke baad
KHatm ho jata hai wo madd-o-jazr
aur main patthar talash karta hun
taki mach jae phir wahi halchal
main ne phenke hain is qadar patthar
ab to mushkil se koi milta hai
aur wo bhi baDi talash ke baad
- Book : Zehrab (Pg. 13)
- Author : Fakhrezaman
- Publication : Idarah Eshat-e-adab, Gujrat (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.