chacha nehru
chāchā nehru ko pyāre the
nanhe bachche aur gulāb
pyāre chāchā nehru tum ko
bachche karte haiñ ādāb
pyaar bharī muskān tumhārī
yaad hameñ jab aatī hai
amrit jal kī barkhā hotī
dil kī kalī khil jaatī hai
is duniyā ke nanhe bachche
karte haiñ sab tum ko pyaar
pyāre chāchā nehru tum ne
chhoḌ diyā kyuuñ ye sansār
tum ko bhārat des thā pyārā
ham bhī is se pyaar kareñge
tum ne ġhairoñ ko apnāyā
ham bhī sab se pyaar kareñge
jaisā tum karte the vaisā
amn kā ham parchār kareñge
chacha nehru ko pyare the
nanhe bachche aur gulab
pyare chacha nehru tum ko
bachche karte hain aadab
pyar bhari muskan tumhaari
yaad hamein jab aati hai
amrit jal ki barkha hoti
dil ki kali khil jati hai
is duniya ke nanhe bachche
karte hain sab tum ko pyar
pyare chacha nehru tum ne
chhoD diya kyun ye sansar
tum ko bhaarat des tha pyara
hum bhi is se pyar karenge
tum ne ghairon ko apnaya
hum bhi sab se pyar karenge
jaisa tum karte the waisa
amn ka hum parchaar karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.