chacha nehru ki mohabbat
pyaar kā dil ne naġhma sunāyā
jab zabāñ par tirā naam aayā
dil ne be-sāḳhta ye pukārā tū bhulāne ke qābil nahīñ hai
chāchā nehru tumhārī mohabbat bhuul jaane ke qābil nahīñ hai
ham bhī pahuñcheñge un manziloñ par
jin kā rasta batāyā hai tum ne
haañ tumhārā jo naqsh-e-qadam hai vo miTāne ke qābil nahīñ hai
chāchā nehru tumhārī mohabbat bhuul jaane ke qābil nahīñ hai
raushnī phir na DhūñDe milegī
chhā.egā saare jag meñ añdherā
jo diyā tum ne raushan kiyā hai vo bujhāne ke qābil nahīñ hai
chāchā nehru tumhārī mohabbat bhuul jaane ke qābil nahīñ hai
tum the amn-o-amāñ ke payambar
saarī duniyā ne maanā hai rahbar
aap kī rahbarī jo na maane is zamāne ke qābil nahīñ hai
chāchā nehru tumhārī mohabbat bhuul jaane ke qābil nahīñ hai
pyar ka dil ne naghma sunaya
jab zaban par tera nam aaya
dil ne be-saKHta ye pukara tu bhulane ke qabil nahin hai
chacha nehru tumhaari mohabbat bhul jaane ke qabil nahin hai
hum bhi pahunchenge un manzilon par
jin ka rasta bataya hai tum ne
han tumhaara jo naqsh-e-qadam hai wo miTane ke qabil nahin hai
chacha nehru tumhaari mohabbat bhul jaane ke qabil nahin hai
raushni phir na DhunDe milegi
chhaega sare jag mein andhera
jo diya tum ne raushan kiya hai wo bujhane ke qabil nahin hai
chacha nehru tumhaari mohabbat bhul jaane ke qabil nahin hai
tum the amn-o-aman ke payambar
sari duniya ne mana hai rahbar
aap ki rahbari jo na mane is zamane ke qabil nahin hai
chacha nehru tumhaari mohabbat bhul jaane ke qabil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.