chaak
1
vo azal se apne aziim chaak pe
mumkināt ke inkishāf meñ mahv hai
falak-o-zamīñ mah-o-āftāb-o-nujūm kohna karishme us ke kamāl ke
abhī is kī jiddat-e-be-panāh ko tarah-e-nau kī talāsh hai
abhī arsh-o-farsh ke nā-shunīda shamā.il us kī nazar meñ haiñ
abhī māvara-e-ḳhayāl-o-fikr-e-masā.il us kī nazar meñ haiñ
kurra-e-zamīñ ko ye faḳhr hai
ki ye ḳhaak ḳhāliq-e-ḳhāliqāñ ko aziiz hai
yahīñ saañs letī hayāt jalva-numā huī
isī arz-e-ḳhāk ko armuġhān-e-numū milā
yahāñ zindagī ke vo rañg haiñ vo tarīq haiñ
ki na un kā koī shumār hai na hisāb hai
inhī paikaroñ meñ hai jā-ba-jā vo tilism-e-aks-e-jamāl bhī
jise dekh lene se chashm-o-dil hama-hairat-o-hama-be-ḳhudī
kahīñ koñpaloñ ko nikhārtā hai vo lazzat-e-nam-e-shāḳh se
kahīñ mū-qalam se sañvārtā hai guloñ meñ rañg na.e na.e
kabhī baḳhshā hai diloñ ko dard kī jāñ-gudāz latāfateñ
koī rañg ho koī ruup ho
koī shakl koī mizāj ho
sabhī us ke chaak se aa.e haiñ
2
ye saarī bāteñ sach hī sahī
ye saare gumān durust sahī
par ye to kaho
qadmoñ tale rauñde pattoñ kī āvāz sunī hai tum ne kabhī
murjhā.e hue phūloñ se kabhī biitī huī rut kī baat huī
kabhī ḳhauf-zada naḳhchīroñ kī āñkhoñ meñ jhāñk ke dekhā hai
kabhī dukhte diloñ kī us dhaḌkan us dahshat meñ bhī sharīk hue
jo hote hue bhī na hone ke ehsās se paidā hotī hai
phaTī purānī shakloñ vaale
ye apāhij ye ma.azūr za.iif
ye TuuTe phūTe khilaune bhī
usī chaak se aa.e haiñ ki nahīñ
kal jin kī hayāt thī barq-āsā
paivand-e-ḳhas-o-ḳhāshāk hue
jinheñ dekh ke āñkheñ raushan thiiñ
pinhāñ pas-e-parda-e-ḳhāk hue
vo naqsh-gar-e-kāmil hai to phir
jo naqsh-e-jamīl banātā hai
jo dard diloñ meñ jagātā hai
use ġhārat kyuuñ kar detā hai
fankār-e-azal ko kyā apne kisī naqsh pe itminān nahīñ
3
ādmī-zāde kisī rañg kisī naqsh kā pāband na ho
ziist Thahrā huā jouhaḌ nahīñ mavvāj-o-ravāñ dariyā hai
tū hai ik Thahre hue pal meñ talabgār-e-davām
ye davām asl meñ hai be-hisi-e-marg kā naam
ādmī-zāde tire rishte haiñ bādal kī tarah
ghir ke aate haiñ baraste haiñ guzar jaate haiñ
yuuñ bhī hotā hai ki kuchh der Thahar jaate haiñ
yuuñ bhī hotā hai ki bin barse bikhar jaate haiñ
tū kisī rishte kisī abr kā pāband na ho
tū ki hai TuuTe khilaune ke liye girya-kunāñ
dekh ye ḳhaak ke paikar to faqat shakl badal lete haiñ
inhī TuuTe hue bekār khilaunoñ kī ye miTTī phir se
ziist ke chalte hue chaak ke kaam aatī hai
phir na.e ruup meñ Dhal jaatī hai
jaane vāloñ ke liye
miTte rañgoñ ke liye TuuTe khilaunoñ ke liye
terā har nauha bajā hai lekin
aane vāloñ kā banāv bhī to dekh
taaza koñpal kī nazākat meñ tanāv bhī to dekh
ki vo fankār-e-azal
aaj bhī apne usī chaak pe hai
1
wo azal se apne azim chaak pe
mumkinat ke inkishaf mein mahw hai
falak-o-zamin mah-o-aftab-o-nujum kohna karishme us ke kamal ke
abhi is ki jiddat-e-be-panah ko tarah-e-nau ki talash hai
abhi arsh-o-farsh ke na-shunida shamail us ki nazar mein hain
abhi mawara-e-KHayal-o-fikr-e-masail us ki nazar mein hain
kurra-e-zamin ko ye faKHr hai
ki ye KHak KHaliq-e-KHaliqan ko aziz hai
yahin sans leti hayat jalwa-numa hui
isi arz-e-KHak ko armughan-e-numu mila
yahan zindagi ke wo rang hain wo tariq hain
ki na un ka koi shumar hai na hisab hai
inhi paikaron mein hai ja-ba-ja wo tilism-e-aks-e-jamal bhi
jise dekh lene se chashm-o-dil hama-hairat-o-hama-be-KHudi
kahin konpalon ko nikhaarta hai wo lazzat-e-nam-e-shaKH se
kahin mu-qalam se sanwarta hai gulon mein rang nae nae
kabhi baKHsha hai dilon ko dard ki jaan-gudaz latafaten
koi rang ho koi rup ho
koi shakl koi mizaj ho
sabhi us ke chaak se aae hain
2
ye sari baaten sach hi sahi
ye sare guman durust sahi
par ye to kaho
qadmon tale raunde patton ki aawaz suni hai tum ne kabhi
murjhae hue phulon se kabhi biti hui rut ki baat hui
kabhi KHauf-zada naKHchiron ki aankhon mein jhank ke dekha hai
kabhi dukhte dilon ki us dhaDkan us dahshat mein bhi sharik hue
jo hote hue bhi na hone ke ehsas se paida hoti hai
phaTi purani shaklon wale
ye apahij ye mazur zaif
ye TuTe phuTe khilaune bhi
usi chaak se aae hain ki nahin
kal jin ki hayat thi barq-asa
paiwand-e-KHas-o-KHashak hue
jinhen dekh ke aankhen raushan thin
pinhan pas-e-parda-e-KHak hue
wo naqsh-gar-e-kaamil hai to phir
jo naqsh-e-jamil banata hai
jo dard dilon mein jagata hai
use ghaarat kyun kar deta hai
fankar-e-azal ko kya apne kisi naqsh pe itminan nahin
3
aadmi-zade kisi rang kisi naqsh ka paband na ho
zist Thahra hua jouhaD nahin mawwaj-o-rawan dariya hai
tu hai ek Thahre hue pal mein talabgar-e-dawam
ye dawam asl mein hai be-hisi-e-marg ka nam
aadmi-zade tere rishte hain baadal ki tarah
ghir ke aate hain baraste hain guzar jate hain
yun bhi hota hai ki kuchh der Thahar jate hain
yun bhi hota hai ki bin barse bikhar jate hain
tu kisi rishte kisi abr ka paband na ho
tu ki hai TuTe khilaune ke liye girya-kunan
dekh ye KHak ke paikar to faqat shakl badal lete hain
inhi TuTe hue bekar khilaunon ki ye miTTi phir se
zist ke chalte hue chaak ke kaam aati hai
phir nae rup mein Dhal jati hai
jaane walon ke liye
miTte rangon ke liye TuTe khilaunon ke liye
tera har nauha baja hai lekin
aane walon ka banaw bhi to dekh
taza konpal ki nazakat mein tanaw bhi to dekh
ki wo fankar-e-azal
aaj bhi apne usi chaak pe hai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 309)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.