chand aur suraj
abr-e-siyah kī farsūda vo chādar
tārīk rakhtī kab tak ye manzar
tal.at pe zulmat kyā ġhālib aatī
khulte na kab tak fitrat ke jauhar
dāman ghaTā kā ḳhud chaak karke
dekho vo niklā māh-e-munavvar
ye ḳhaas maz.har mahr-e-mubīñ kā
kitnā hasīñ hai allāhu-akbar
jo ruup is kā vo ruup us kā
itnā mushābah chehra hai kis kā
maz.har jalālī maz.har jamālī
donoñ kī sūrat hai bholī bhālī
donoñ subuk-ravāñ kī ravish se
zāhir nahīñ hai āshufta haalī
tābinda un ke faiz-e-asar se
bazm-e-ḳhayālī bazm-e-misālī
din is se tābāñ raat is se raushan
zarkār-e-sanad kab dekhī ḳhālī
nazreñ haiñ un par husn-e-atam kī
jalvoñ se us ke shaan un kī chamkī
ḳhūbī se koī kab hai muarra
qudrat kā shāhid hai zarra zarra
lekin hai un kī shaan aur hī kuchh
arz-o-samā ko hai un pe ġharra
aa.e gahan meñ bhī ye to kyā ġham
zaat in kī zulmat se hai mubarrā
haiñ mere roz-o-shab un se dilkash
hotā huuñ un se ḳhush roz-marra
kahtī hai ishrat merī nazar kī
le lo balā.eñ shams-o-qamar kī
ḳhush-kun jab un kā jāh-o-hasham ho
zauq-e-nazar phir kyoñ merā kam ho
bāliġh-nazar hoñ us se na kyoñ ḳhush
kul nūriyoñ kī zau jis meñ zam ho
hoñ dīda-var kyoñ is se na shādāñ
tāroñ kā baaqī jis se bharam ho
un kī numūd-e-zulmat-rubā par
partav-fagan jab nūr-e-qadam ho
ho chāñd maddham yā maañd sūraj
chamkeñge yūñhī ye chāñd sūraj
abr-e-siyah ki farsuda wo chadar
tarik rakhti kab tak ye manzar
talat pe zulmat kya ghaalib aati
khulte na kab tak fitrat ke jauhar
daman ghaTa ka KHud chaak karke
dekho wo nikla mah-e-munawwar
ye KHas mazhar mahr-e-mubin ka
kitna hasin hai allahu-akbar
jo rup is ka wo rup us ka
itna mushabah chehra hai kis ka
mazhar jalali mazhar jamali
donon ki surat hai bholi bhaali
donon subuk-rawan ki rawish se
zahir nahin hai aashufta haali
tabinda un ke faiz-e-asar se
bazm-e-KHayali bazm-e-misali
din is se taban raat is se raushan
zarkar-e-sanad kab dekhi KHali
nazren hain un par husn-e-atam ki
jalwon se us ke shan un ki chamki
KHubi se koi kab hai muarra
qudrat ka shahid hai zarra zarra
lekin hai un ki shan aur hi kuchh
arz-o-sama ko hai un pe gharra
aae gahan mein bhi ye to kya gham
zat in ki zulmat se hai mubarra
hain mere roz-o-shab un se dilkash
hota hun un se KHush roz-marra
kahti hai ishrat meri nazar ki
le lo balaen shams-o-qamar ki
KHush-kun jab un ka jah-o-hasham ho
zauq-e-nazar phir kyon mera kam ho
baaligh-nazar hon us se na kyon KHush
kul nuriyon ki zau jis mein zam ho
hon dida-war kyon is se na shadan
taron ka baqi jis se bharam ho
un ki numud-e-zulmat-ruba par
partaw-fagan jab nur-e-qadam ho
ho chand maddham ya mand suraj
chamkenge yunhi ye chand suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.