chand chamakne lagta hai
ūñche ūñche peḌ khaḌe haiñ chīloñ ke
kohsāroñ kī Dhalānoñ par jo nīche
dauḌī jaatī haiñ
chāñd se chehre vaalī nadī ke milne ko
chāroñ jānib chhā.ī chup ke pahlū se
dard kī sūrat uThne vaalī tez havā
gird-o-pesh se be-parvā
apnī rau ek hī lai maiñ gaatī hai
us kī ye begāna ravī dīvāna hī banātī hai
ik patthar par baiThā pahroñ ek hī samt meñ taktā huuñ
nīche dauḌī jaatī Dhalāneñ
jaise palaT kar aatī haiñ
chīloñ ke peḌoñ ke phungoñ se bhī ūñchā jaatī haiñ
pattoñ ke ab paiham raqs kī taal badaltī hai
maiñ hī shāyad
dard ke saaz pe apnā raag alāpe jaatā huuñ
jaane kab tak...
duur falak par chāñd chamakne lagtā hai
unche unche peD khaDe hain chilon ke
kohsaron ki Dhalanon par jo niche
dauDi jati hain
chand se chehre wali nadi ke milne ko
chaaron jaanib chhai chup ke pahlu se
dard ki surat uThne wali tez hawa
gird-o-pesh se be-parwa
apni rau ek hi lai main gati hai
us ki ye begana rawi diwana hi banati hai
ek patthar par baiTha pahron ek hi samt mein takta hun
niche dauDi jati Dhalanen
jaise palaT kar aati hain
chilon ke peDon ke phungon se bhi uncha jati hain
patton ke ab paiham raqs ki tal badalti hai
main hi shayad
dard ke saz pe apna rag alape jata hun
jaane kab tak
dur falak par chand chamakne lagta hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 205)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.