chand-chehra sitara-ankhen
mire ḳhudāyā maiñ zindagī ke azaab likkhūñ ki ḳhvāb likkhūñ
ye merā chehra ye merī āñkheñ
bujhe hue se charāġh jaise
jo phir se chalne ke muntazir hoñ
vo chāñd-chehra sitāra-āñkheñ
vo mehrbāñ sāya-dār zulfeñ
jinhoñ ne paimāñ kiye the mujh se
rafāqatoñ ke mohabbatoñ ke
kahā thā mujh se ki ai musāfir rah-e-vafā ke
jahāñ bhī jā.egā ham bhī ā.eñge saath tere
baneñge rātoñ meñ chāñdnī ham to din meñ saa.e bikher deñge
vo chāñd-chehra sitāra-āñkheñ
vo mehrbāñ sāya-dār zulfeñ
vo apne paimāñ rafāqatoñ ke mohabbatoñ ke
shikast kar ke
na jaane ab kis kī rahguzar kā manāra-e-raushnī hue haiñ
magar musāfir ko kyā ḳhabar hai
vo chāñd-chehra to bujh gayā hai
sitāra-āñkheñ to so ga.ī haiñ
vo zulfeñ be-sāya ho ga.ī haiñ
vo raushnī aur vo saa.e mirī atā the
so merī rāhoñ meñ aaj bhī haiñ
ki maiñ musāfir rah-e-vafā kā
vo chāñd-chehra sitāra-āñkheñ
vo mehrbāñ sāya-dār zulfeñ
hazāroñ chehroñ hazāroñ āñkhoñ
hazāroñ zulfoñ kā ek sailāb-e-tund le kar
mire ta.āqub meñ aa rahe haiñ
har ek chehra hai chāñd-chehra
haiñ saarī āñkheñ sitāra-āñkheñ
tamām haiñ
mehrbāñ sāya-dār zulfeñ
maiñ kis ko chāhūñ maiñ kis ko chūmūñ
maiñ kis ke saa.e meñ baiTh jā.ūñ
bachūñ ki tūfāñ meñ Duub jā.ūñ
na merā chehra na merī āñkheñ
mire ḳhudāyā maiñ zindagī ke azaab likkhūñ ki ḳhvāb likkhūñ
mere KHudaya main zindagi ke azab likkhun ki KHwab likkhun
ye mera chehra ye meri aankhen
bujhe hue se charagh jaise
jo phir se chalne ke muntazir hon
wo chand-chehra sitara-ankhen
wo mehrban saya-dar zulfen
jinhon ne paiman kiye the mujh se
rafaqaton ke mohabbaton ke
kaha tha mujh se ki ai musafir rah-e-wafa ke
jahan bhi jaega hum bhi aaenge sath tere
banenge raaton mein chandni hum to din mein sae bikher denge
wo chand-chehra sitara-ankhen
wo mehrban saya-dar zulfen
wo apne paiman rafaqaton ke mohabbaton ke
shikast kar ke
na jaane ab kis ki rahguzar ka manara-e-raushni hue hain
magar musafir ko kya KHabar hai
wo chand-chehra to bujh gaya hai
sitara-ankhen to so gai hain
wo zulfen be-saya ho gai hain
wo raushni aur wo sae meri ata the
so meri rahon mein aaj bhi hain
ki main musafir rah-e-wafa ka
wo chand-chehra sitara-ankhen
wo mehrban saya-dar zulfen
hazaron chehron hazaron aankhon
hazaron zulfon ka ek sailab-e-tund le kar
mere taaqub mein aa rahe hain
har ek chehra hai chand-chehra
hain sari aankhen sitara-ankhen
tamam hain
mehrban saya-dar zulfen
main kis ko chahun main kis ko chumun
main kis ke sae mein baiTh jaun
bachun ki tufan mein Dub jaun
na mera chehra na meri aankhen
mere KHudaya main zindagi ke azab likkhun ki KHwab likkhun
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.