chand Dub jata hai
chāñd apne baste meñ
be-safar shabīhoñ ko
miTTiyoñ ke paañv meñ lakḌiyoñ ke ghoḌoñ meñ
os ke piyāloñ meñ raat ke khilaunoñ meñ
kis liye samotā hai
āñkhoñ ke bistar se roz vo utartā hai
paañv paañv chaltā hai
barf se Dhakī huī bāzuoñ kī shāmoñ meñ
roz Duub jaatā hai
chāñd Duub jaatā hai
chand apne baste mein
be-safar shabihon ko
miTTiyon ke panw mein lakDiyon ke ghoDon mein
os ke piyalon mein raat ke khilaunon mein
kis liye samota hai
aankhon ke bistar se roz wo utarta hai
panw panw chalta hai
barf se Dhaki hui bazuon ki shamon mein
roz Dub jata hai
chand Dub jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.