chand
chāñd
qarīb aao baiTho mere paas
mere chup dost
mujhe do
chīte kā nuqra.ī dāġhdār badan
barfīlī raat meñ dabā huā
jo tumhārī god meñ hai
mujhe sikhāo do lafz
haspānvī chīnī purtagālī
iḳhlās ke vo sabz lafz
jo tum ne sune haiñ
apnī chāñdnī meñ ḳhauf-pā guzre huoñ kī
amānat kī tarah
jazb kar liye haiñ
mujhe do
auratoñ aur nazmoñ ke badan
ki javān hote Dhalte rahe haiñ
tumhāre charḳhe ke suut kī tarah jo tum
mere aur merī duniyā ke bachpan se
aaj talak
kāt.te rahe ho
ā.inda bhī kātoge
chand
qarib aao baiTho mere pas
mere chup dost
mujhe do
chite ka nuqrai daghdar badan
barfili raat mein daba hua
jo tumhaari god mein hai
mujhe sikhao do lafz
haspanwi chini purtagali
iKHlas ke wo sabz lafz
jo tum ne sune hain
apni chandni mein KHauf-pa guzre huon ki
amanat ki tarah
jazb kar liye hain
mujhe do
auraton aur nazmon ke badan
ki jawan hote Dhalte rahe hain
tumhaare charKHe ke sut ki tarah jo tum
mere aur meri duniya ke bachpan se
aaj talak
katte rahe ho
aainda bhi katoge
- Book : saugaat-2-3 (Pg. 116)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.