chand
chāñd ne jab raat ko
āsmān ke auj se
arz par Daalī nazar
to use tārīkiyoñ meñ ġharq duniyā par taras aayā bahut
aur us ne arz par kuchh toḌ laane kā irāda kar liyā
jab vo utrā āsmāñ se
to muqaddar ne use laTkā diyā
ik salīb-e-naḳhl par
aur duniyā so rahī thī raat kī āġhosh meñ
chāñd kā kyā haal hai
pūchhtā koī nahīñ
chand ne jab raat ko
aasman ke auj se
arz par Dali nazar
to use tarikiyon mein gharq duniya par taras aaya bahut
aur us ne arz par kuchh toD lane ka irada kar liya
jab wo utra aasman se
to muqaddar ne use laTka diya
ek salib-e-naKHl par
aur duniya so rahi thi raat ki aaghosh mein
chand ka kya haal hai
puchhta koi nahin
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 590)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.