chand
jagmag jagmag chamke chāñd
jag ko raushan kar de chāñd
din bhar to ārām kare
shab ko bāhar nikle chāñd
ruḳhsat ho kar pūrab se
pachchhim tak jā pahuñche chāñd
pahle din to chhoTā ho
ba.ad meñ baḌhtā jaa.e chāñd
chāñdī kī thālī sā lage
jab puurā ho jaa.e chāñd
kaale bādal se chhup jaa.e
bachcho Dar ke maare chāñd
chandā maamā kahte haiñ
dekh ke chhoTe bachche chāñd
jagmag jagmag chamke chand
jag ko raushan kar de chand
din bhar to aaram kare
shab ko bahar nikle chand
ruKHsat ho kar purab se
pachchhim tak ja pahunche chand
pahle din to chhoTa ho
baad mein baDhta jae chand
chandi ki thaali sa lage
jab pura ho jae chand
kale baadal se chhup jae
bachcho Dar ke mare chand
chanda mama kahte hain
dekh ke chhoTe bachche chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.