chand ka husn
maiñ ne maanā ki faqat Dher chaTānoñ kā hai chāñd
us ke andar gul-o-nasrīñ kā nazārā na sahī
chāñd ke husn meñ vaaq.e na huī koī kamī
us ke andar kisī lailā kā ishārā na sahī
ḳhār-o-maidāñ haiñ kahīñ aur kahīñ sang-o-reg
chāñd ke gird havā hai na hai us meñ paanī
chāñd kī dilbarī in bātoñ se kuchh kam na huī
chāñd is vaqt bhī ra.anā.ī meñ hai lā-sānī
ma.arka sar kiyā amrīkī ḳhalā-bāzoñ ne
is haqīqat se to inkār nahīñ hai mujh ko
chāñd ke husn kā un logoñ ne parda kiyā chaak
is ġhalat baat kā iqrār nahīñ hai mujh ko
chāñd ke dasht meñ insān ne kī hai tahqīq
kholā hai chāñd pe tahrīk-o-amal kā nayā baab
ḳhāk-e-mahtāb meñ insāñ ko nazar aa.ī namī
kam huā kis tarah in bātoñ se husn-e-mahtāb
baat ye sach hai ki tārīḳh meñ bār-e-avval
chāñd kī satah pe insāñ ne qadam rakkhā hai
chāñd kī bazm meñ insāñ ne kiyā ḳhurd-o-nosh
is ne le jā ke vahāñ apnā alam rakkhā hai
lekin is fat.h se kuchh kam na huā chāñd kā husn
charḳh pe chāñd kī turkāna ravish hai ab bhī
chāñdnī raat usī tarah hai farhat-angez
chāñdnī raat meñ pahlī sī kashish hai ab bhī
ye to ma.alūm thā pahle hī se ham logoñ ko
mah-e-kāmil kī ziyā kā hai koī aur kafīl
is haqīqat se ham āgāh bahut pahle the
chāñd kī raushnī sūraj hī kā hai aks-e-jamīl
phir bhī ham chāñd ko kahte hī rahe paikar-e-nūr
us kī ra.anā.ī pe har vaqt rahe ham shaidā
kī atā us ne taḳhayyul ko ru-pahlī parvāz
us ke ik naam se lākhoñ hue mazmūñ paidā
ab bhī ham chāñd meñ karte haiñ tabassum mahsūs
āriz-e-māh meñ hai phuul kā rū-e-ḳhandāñ
ab bhī mahtāb ke lau dete hue chehre par
kisī mahbūb ke ruḳhsār kā hotā hai gumāñ
lākhoñ chīzeñ haiñ hasīñ mahfil-e-duniyā meñ magar
aisī shai mil nahīñ saktī hai kahīñ se ham ko
chāñd bad-shakl hai dekheñ jo ḳhalā meñ jā kar
chāñd lagtā hai hasīñ ab bhī zamīñ se ham ko
main ne mana ki faqat Dher chaTanon ka hai chand
us ke andar gul-o-nasrin ka nazara na sahi
chand ke husn mein waqe na hui koi kami
us ke andar kisi laila ka ishaara na sahi
KHar-o-maidan hain kahin aur kahin sang-o-reg
chand ke gird hawa hai na hai us mein pani
chand ki dilbari in baaton se kuchh kam na hui
chand is waqt bhi ranai mein hai la-sani
marka sar kiya amriki KHala-bazon ne
is haqiqat se to inkar nahin hai mujh ko
chand ke husn ka un logon ne parda kiya chaak
is ghalat baat ka iqrar nahin hai mujh ko
chand ke dasht mein insan ne ki hai tahqiq
khola hai chand pe tahrik-o-amal ka naya bab
KHak-e-mahtab mein insan ko nazar aai nami
kam hua kis tarah in baaton se husn-e-mahtab
baat ye sach hai ki tariKH mein bar-e-awwal
chand ki satah pe insan ne qadam rakkha hai
chand ki bazm mein insan ne kiya KHurd-o-nosh
is ne le ja ke wahan apna alam rakkha hai
lekin is fath se kuchh kam na hua chand ka husn
charKH pe chand ki turkana rawish hai ab bhi
chandni raat usi tarah hai farhat-angez
chandni raat mein pahli si kashish hai ab bhi
ye to malum tha pahle hi se hum logon ko
mah-e-kaamil ki ziya ka hai koi aur kafil
is haqiqat se hum aagah bahut pahle the
chand ki raushni suraj hi ka hai aks-e-jamil
phir bhi hum chand ko kahte hi rahe paikar-e-nur
us ki ranai pe har waqt rahe hum shaida
ki ata us ne taKHayyul ko ru-pahli parwaz
us ke ek nam se lakhon hue mazmun paida
ab bhi hum chand mein karte hain tabassum mahsus
aariz-e-mah mein hai phul ka ru-e-KHandan
ab bhi mahtab ke lau dete hue chehre par
kisi mahbub ke ruKHsar ka hota hai guman
lakhon chizen hain hasin mahfil-e-duniya mein magar
aisi shai mil nahin sakti hai kahin se hum ko
chand bad-shakl hai dekhen jo KHala mein ja kar
chand lagta hai hasin ab bhi zamin se hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.