chand
karoḌoñ saal se tū dekhtā hai duniyā ko
zamīñ ke bahr-o-bayābāñ ko dasht-o-dariyā ko
ye daur-e-shām-o-sahar vaqt kā ye paimāna
ye inqalāb-e-bahār-o-ḳhizāñ kā afsāna
ye sāz-e-dahr tirī anjuman kā ik naġhma
navā-e-bazm-e-bashar is chaman kā ik naġhma
numūd-e-ma.adan-o-ārā.ish-e-nabāt huī
tirī hī āñkhoñ ke aage javāñ hayāt huī
inhī shuāoñ se chamkā hai sīna-e-ālam
huā hai matla-e-anvār dīda-e-ādam
tire huzūr dhaḌaktā hai dil samundar kā
damakne lagtā hai chehra fazā-e-bartar kā
vo rah-ravān-e-adam qāfile vo hastī ke
guzarne vaale musāfir zamīñ kī bastī ke
samā.e āñkhoñ meñ āñkhoñ se phir nihāñ bhī hue
vo kārvāñ sifat-e-gard-e-kārvāñ bhī hue
magar tū bazm-e-falak meñ yūñhī daraḳhshāñ hai
ye terī mash.al-e-tābāñ hamesha tābāñ hai
tirī nigāhoñ meñ rang-e-azal jhalaktā hai
abad kā jaam tire haath meñ chhalaktā hai
kabhī hilāl kabhī sūrat-e-mah-e-kāmil
hai tere rāste meñ irtiqā kī har manzil
mushābah haal se tere hai haal qaumoñ kā
uruuj qaumoñ kā yā phir zavāl qaumoñ kā
ye zindagī bhī hai goyā ki raushnī terī
nazar se chhuptī hai lekin kabhī nahīñ bujhtī
agarche partav-e-ḳhurshīd se hai nuur tirā
hai qarz daam kā jām-e-mai-e-surūr tirā
bulandiyoñ meñ bhī terā koī maqām nahīñ
nujūm-e-charḳh-e-barīñ kā tū ham-ḳhirām nahīñ
zamīñ ke pahlū meñ tū ne magar jagah paa.ī
luTā ke daulat-e-husn-o-matā.a-e-ra.anā.ī
karoDon sal se tu dekhta hai duniya ko
zamin ke bahr-o-bayaban ko dasht-o-dariya ko
ye daur-e-sham-o-sahar waqt ka ye paimana
ye inqalab-e-bahaar-o-KHizan ka afsana
ye saz-e-dahr teri anjuman ka ek naghma
nawa-e-bazm-e-bashar is chaman ka ek naghma
numud-e-madan-o-araish-e-nabaat hui
teri hi aankhon ke aage jawan hayat hui
inhi shuaon se chamka hai sina-e-alam
hua hai matla-e-anwar dida-e-adam
tere huzur dhaDakta hai dil samundar ka
damakne lagta hai chehra faza-e-bartar ka
wo rah-rawan-e-adam qafile wo hasti ke
guzarne wale musafir zamin ki basti ke
samae aankhon mein aankhon se phir nihan bhi hue
wo karwan sifat-e-gard-e-karwan bhi hue
magar tu bazm-e-falak mein yunhi daraKHshan hai
ye teri mashal-e-taban hamesha taban hai
teri nigahon mein rang-e-azal jhalakta hai
abad ka jam tere hath mein chhalakta hai
kabhi hilal kabhi surat-e-mah-e-kaamil
hai tere raste mein irtiqa ki har manzil
mushabah haal se tere hai haal qaumon ka
uruj qaumon ka ya phir zawal qaumon ka
ye zindagi bhi hai goya ki raushni teri
nazar se chhupti hai lekin kabhi nahin bujhti
agarche partaw-e-KHurshid se hai nur tera
hai qarz dam ka jam-e-mai-e-surur tera
bulandiyon mein bhi tera koi maqam nahin
nujum-e-charKH-e-barin ka tu ham-KHiram nahin
zamin ke pahlu mein tu ne magar jagah pai
luTa ke daulat-e-husn-o-mataa-e-ranai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.