chand ki buDhiya
sunā hai chāñd hai sone kā anDā
sunā hai chāñd kā mausam hai ThanDā
sunā hai chāñd meñ haiñ ḳhaak patthar
sunā hai chāñd meñ haiñ la.al-o-gauhar
magar vo chāñd kī buḌhiyā kahāñ hai
sunā hai chāñd ke lab surḳh sunahre
sunā hai chāñd meñ haiñ ġhaar gahre
sunā hai chāñd meñ chāñdī ke dariyā
bahut sundar bahut anmol baḌhiyā
magar vo chāñd kī buḌhiyā kahāñ hai
sunā hai chāñd hai māmūñ hamārā
hamesha chandā māmūñ hī pukārā
ḳhalā meñ past hai baalā huā hai
zamīñ kī god kā paalā huā hai
magar vo chāñd kī buḌhiyā kahāñ hai
vo din vo raat vo sūraj vo taare
vo Tiile vādiyāñ dariyā kināre
nadī vo nuur kī kirnoñ kī nayyā
sunā hai chāñd meñ sab kuchh hai bhayyā
magar vo chāñd kī buḌhiyā kahāñ hai
suna hai chand hai sone ka anDa
suna hai chand ka mausam hai ThanDa
suna hai chand mein hain KHak patthar
suna hai chand mein hain lal-o-gauhar
magar wo chand ki buDhiya kahan hai
suna hai chand ke lab surKH sunahre
suna hai chand mein hain ghaar gahre
suna hai chand mein chandi ke dariya
bahut sundar bahut anmol baDhiya
magar wo chand ki buDhiya kahan hai
suna hai chand hai mamun hamara
hamesha chanda mamun hi pukara
KHala mein past hai baala hua hai
zamin ki god ka pala hua hai
magar wo chand ki buDhiya kahan hai
wo din wo raat wo suraj wo tare
wo Tile wadiyan dariya kinare
nadi wo nur ki kirnon ki nayya
suna hai chand mein sab kuchh hai bhayya
magar wo chand ki buDhiya kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.