chand ki fariyaad
chāñd ne mujh se kahā ai shā.er-e-fikr-e-azal
mere baare meñ bhī likh de koī sanjīda ġhazal
har ta.alluq toḌ rakkhā hai hilāl-e-īd se
tujh ko fursat hī nahīñ hai mah-vashoñ kī diid se
rasm-e-dīdār-e-hilāl-e-īd, afsāna huī
baam par us dam chaḌhe, jis vaqt farzāna huī
le ke nazrāna kametī ne ujālā hai mujhe
gar nahīñ niklā, zabardastī nikālā hai mujhe
meñ jo be-marzī nikal aayā to DāñTā hai bahut
maulvī ne muḳhtalif ḳhānoñ meñ bāñTā hai bahut
is ko mat follow karo, is kī tarīqat maañd hai
tum bareilly ke ho aur ye deobandi chāñd hai
ye jo ḳhūñ-ālūd hai, afġhāniyoñ kā chāñd hai
muḳhtalif TukḌoñ meñ pakistaniyoñ kā chāñd hai
ik karachi se hai niklā ik pas-e-lahore hai
sindh kā chāñd aur hai punjab kā chāñd aur hai
vo jo ham-sā.e kī biivī hai ġhazālā chāñd hai
aur us ke saath jo rahtā hai kaalā chāñd hai
shā.eroñ ne apne sheroñ meñ bahut pelā mujhe
'mīr' o 'ġhālib' ne bhī samjhā ḳhaak kā Dhelā mujhe
sher meñ, rashk-e-qamar lailā ko farmāne lage
tube-light ko hilāl-e-īd batlāne lage
apnī biivī se kahā untīsvīñ kā chāñd ho
aur paḌosan se kahā tum chaudhvīñ kā chāñd ho
aam sī aurat ko mah-pāra banā kar rakh diyā
chāñd ko TuuTā huā taara banā kar rakh diyā
chāñd par jis din se insāñ ke qadam paḌne lage
chāñdnī jin se ho aaise balb kam paḌne lage
maiñ zamīñ se duur huuñ lekin bahut nazdīk huuñ
ai zamīñ vaalo maiñ tum se duur rah kar Thiik huuñ
maiñ zamīñ par aa gayā to har bashar le jā.egā
sab se pahle ten-parsenT apne ghar le jā.egā
chand ne mujh se kaha ai shaer-e-fikr-e-azal
mere bare mein bhi likh de koi sanjida ghazal
har talluq toD rakkha hai hilal-e-id se
tujh ko fursat hi nahin hai mah-washon ki did se
rasm-e-didar-e-hilal-e-id, afsana hui
baam par us dam chaDhe, jis waqt farzana hui
le ke nazrana kameti ne ujala hai mujhe
gar nahin nikla, zabardasti nikala hai mujhe
mein jo be-marzi nikal aaya to DanTa hai bahut
maulwi ne muKHtalif KHanon mein banTa hai bahut
is ko mat follow karo, is ki tariqat mand hai
tum bareilly ke ho aur ye deobandi chand hai
ye jo KHun-alud hai, afghaniyon ka chand hai
muKHtalif TukDon mein pakistaniyon ka chand hai
ek karachi se hai nikla ek pas-e-lahore hai
sindh ka chand aur hai punjab ka chand aur hai
wo jo ham-sae ki biwi hai ghazala chand hai
aur us ke sath jo rahta hai kala chand hai
shaeron ne apne sheron mein bahut pela mujhe
'mir' o 'ghaalib' ne bhi samjha KHak ka Dhela mujhe
sher mein, rashk-e-qamar laila ko farmane lage
tube-light ko hilal-e-id batlane lage
apni biwi se kaha untiswin ka chand ho
aur paDosan se kaha tum chaudhwin ka chand ho
aam si aurat ko mah-para bana kar rakh diya
chand ko TuTa hua tara bana kar rakh diya
chand par jis din se insan ke qadam paDne lage
chandni jin se ho aaise balb kam paDne lage
main zamin se dur hun lekin bahut nazdik hun
ai zamin walo main tum se dur rah kar Thik hun
main zamin par aa gaya to har bashar le jaega
sab se pahle ten-parsenT apne ghar le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.