chand-raat
duur kavvoñ ne baiTh kar lab-e-jū
phir hilā.e thake thake baazū
gir rahī haiñ siyāhiyāñ har-sū
ek hī baar dal ke darvāze
khulte haiñ aur phir nahīñ khulte
raat aurat hai garche tīra-jabīñ
dil magar kārvān-e-sarā.e nahīñ
ek aivāñ hai jis ke darvāze
khul ke ik baar phir nahīñ khulte
ek beva ke naujavāñ jazbāt
soch raushan magar andher hayāt
chāñdnī naġhma-hā-e-kaif-o-surūr
chand lamhoñ kā ik fasāna-e-nūr
aur phir tīrgī sahar-andesh
jis tarah koī ek pal ke liye
apnā āñchal bikher kar chun le
aur phir parda-hā-e-tārīkī
ek hī baar dal ke darvāze
khulte haiñ aur phir nahīñ khulte
dur kawwon ne baiTh kar lab-e-ju
phir hilae thake thake bazu
gir rahi hain siyahiyan har-su
ek hi bar dal ke darwaze
khulte hain aur phir nahin khulte
raat aurat hai garche tira-jabin
dil magar karwan-e-sarae nahin
ek aiwan hai jis ke darwaze
khul ke ek bar phir nahin khulte
ek bewa ke naujawan jazbaat
soch raushan magar andher hayat
chandni naghma-ha-e-kaif-o-surur
chand lamhon ka ek fasana-e-nur
aur phir tirgi sahar-andesh
jis tarah koi ek pal ke liye
apna aanchal bikher kar chun le
aur phir parda-ha-e-tariki
ek hi bar dal ke darwaze
khulte hain aur phir nahin khulte
- Book : Pakistani Adab (Pg. 167)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.