chand se dauD
bachpan meñ jab maiñ shaam ko
gaaḌī kī khiḌkī se
jhāñk kar dekhtā
to muskurāte dūdhiyā safed chāñd ko
apne baġhal meñ paatā
maano mujh se dauḌ lagā rahā hai
koī bhī saḌak koī bhī moḌ
kisī bhī samt kisī bhī or
maiñ jahāñ bhī jā.ūñ mujh se qadam se qadam milā rahā hai
par jaane kyoñ
ye mujh se jītne ke liye nahīñ dauḌtā ki
maiñ jab rukūñ ye ruktā hai
maiñ jab chalūñ yā chaltā hai
gaaḌī raftār pakḌe chāñd bhī raftār pakaḌtā hai
gaaḌī red light par ruke chāñd bhī ruktā hai
ab baḌā ho rahā huuñ to
zindagī se dauḌ lagā rahā huuñ
zindagī sang-dil hai
maiñ aage rahūñ yā pīchhe zindagī nahīñ ruktī hai
mujhe zindagī se dauḌ nahīñ lagānī
chāñd nikal aayā hai to gaaḌī bhī nikālo
mujhe chāñd se dauḌ lagānī hai
bachpan mein jab main sham ko
gaDi ki khiDki se
jhank kar dekhta
to muskuraate dudhiya safed chand ko
apne baghal mein pata
mano mujh se dauD laga raha hai
koi bhi saDak koi bhi moD
kisi bhi samt kisi bhi or
main jahan bhi jaun mujh se qadam se qadam mila raha hai
par jaane kyon
ye mujh se jitne ke liye nahin dauDta ki
main jab rukun ye rukta hai
main jab chalun ya chalta hai
gaDi raftar pakDe chand bhi raftar pakaDta hai
gaDi red light par ruke chand bhi rukta hai
ab baDa ho raha hun to
zindagi se dauD laga raha hun
zindagi sang-dil hai
main aage rahun ya pichhe zindagi nahin rukti hai
mujhe zindagi se dauD nahin lagani
chand nikal aaya hai to gaDi bhi nikalo
mujhe chand se dauD lagani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.